SEARCH RESULTS
Showing search results for "mehmaan"
Sher MATCHES FOR "mehmaan"
Sher
bahut se log the mehmaan mere ghar lekin
vo jaantaa thaa ki hai ehtimaam kis ke liye
Parveen Shakir
Sher
Dartaa huu.n dekh kar dil-e-be-aarzuu ko mai.n
sunsaan ghar ye kyuu.n na ho mehmaan to gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
dil se agar kabhii tiraa armaan jaa.egaa
ghar ko lagaa ke aag ye mehmaan jaa.egaa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
kab vo aa.e.nge ilaahii mire mehmaa.n ho kar
kaun din kaun baras kaun mahiina hogaa
Mubarak Azimabadi
Sher
Gulzar
Sher
muddat hu.ii hai yaar ko mehmaa.n kiye hu.e
josh-e-qadah se bazm charaaGaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Sher
jis jaa makiin ban.ne ke dekhe the mai.n ne KHvaab
us ghar me.n ek shaam kii mehmaan bhii na thii
Parveen Shakir
Sher
hame.n KHabar hai vo mehmaan ek raat kaa hai
hamaare paas bhii saamaan ek raat kaa hai
Saifuddin Saif
Sher
Safdar Mirzapuri
Sher
duniyaa me.n ham rahe to ka.ii din pa is tarah
dushman ke ghar me.n jaise ko.ii mehmaa.n rahe
Qayem Chaandpuri
Sher
tanhaa.ii kaa ik aur maza luuT rahaa huu.n
mehmaan mire ghar me.n bahut aa.e hu.e hai.n
Shuja Khaavar
Sher
Ahsan Marahravi
Sher
mujhe bulaa ke yahaa.n aap chhup gayaa ko.ii
vo mehmaa.n huu.n jise mezbaa.n nahii.n miltaa
Fani Badayuni
Sher
uThaa tuu jaa bhii chukaa thaa ajiib mehmaa.n thaa
sadaa.e.n de ke mujhe nii.nd se jagaa bhii gayaa
Muneer Niyazi
Sher
KHushii ke daur to mehmaa.n the aate jaate rahe
udaasii thii ki hamesha hamaare ghar me.n rahii
Yasmeen Hameed
Sher
yaqiin barso.n kaa imkaan kuchh dino.n kaa huu.n
mai.n tere shahr me.n mehmaan kuchh dino.n kaa huu.n
Athar Nasik
Sher
ho chukaa aish kaa jalsa to mujhe KHat bhejaa
aap kii tarah se mehmaan bulaa.e ko.ii
Dagh Dehlvi
Sher
tere mehmaa.n ke svaagat kaa ko.ii phuul the ham
jo bhii niklaa hame.n pairo.n se kuchal kar niklaa