SEARCH RESULTS
Showing search results for "mid.hat"
Sher MATCHES FOR "mid.hat"
Sher
laa.ii hai kahaa.n mujh ko tabii.at kii do-ra.ngii
duniyaa kaa talabgaar bhii duniyaa se KHafaa bhii
Midhat-ul-Akhtar
Sher
garmii-e-husn kii mid.hat kaa silaa lete hai.n
mish.ale.n aap ke saa.e se jalaa lete hai.n
Muneer Shikohabadi
Sher
jaane vaale mujhe kuchh apnii nishaanii de jaa
ruuh pyaasii na rahe aa.nkh me.n paanii de jaa
Midhat-ul-Akhtar
Sher
jism us kii god me.n ho ruuh tere ruu-ba-ruu
faahisha ke garm bistar par riyaa-kaarii karuu.n
Midhat-ul-Akhtar
Sher
Midhat-ul-Akhtar
Sher
KHvaabo.n kii tijaarat me.n yahii ek kamii hai
chaltii hai dukaa.n KHuub kamaa.ii nahii.n detii
Midhat-ul-Akhtar
Sher
tum mil ga.e to ko.ii gila ab nahii.n rahaa
mai.n apnii zindagii se KHafaa ab nahii.n rahaa
Midhat-ul-Akhtar
Sher
terii auqaat hii kyaa 'mid.hat-ul-aKHtar' sun le
shahr ke shahr zamiino.n ke tale dab ga.e hai.n
Midhat-ul-Akhtar
Sher
tuu samajhtaa hai mujhe harf-e-mukarrar lekin
mai.n sahiifa huu.n tire dil pe utarne vaalaa
Midhat-ul-Akhtar
Sher
ham ko usii dayaar kii miTTii hu.ii aziiz
naqshe me.n jis kaa naam-pata ab nahii.n rahaa
Midhat-ul-Akhtar
Sher
mai.n ne saahil se use Duubte dekhaa thaa faqat
mujhe Garqaab karegaa yahii manzar us kaa
Midhat-ul-Akhtar
Sher
kuuch karne kii gha.Dii hai magar ai ham-safro
ham udhar jaa nahii.n sakte jidhar sab ga.e hai.n
Midhat-ul-Akhtar
Sher
mire vajuud me.n shaamil rahe hai.n kitne vajuud
to phir ye kaise kahuu.n jo kiyaa kiyaa mai.n ne
Midhat-ul-Akhtar
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ek muddat se mirii maa.n nahii.n so.ii 'taabish'
mai.n ne ik baar kahaa thaa mujhe Dar lagtaa hai
Abbas Tabish
Sher
muddat ke baa'd aaj use dekh kar 'muniir'
ik baar dil to dha.Dkaa magar phir sambhal gayaa
Muneer Niyazi
Sher
muddat hu.ii ik shaKHs ne dil to.D diyaa thaa
is vaaste apno.n se mohabbat nahii.n karte
Saqi Faruqi
Sher
bhaa.np hii le.nge ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa
taa.Dne vaale qayaamat kii nazar rakhte hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Gairo.n se to fursat tumhe.n din raat nahii.n hai
haa.n mere liye vaqt-e-mulaaqaat nahii.n hai