SEARCH RESULTS
Showing search results for "midhat-e-sarkaar"
Sher MATCHES FOR "midhat-e-sarkaar"
Sher
aa ai 'asar' mulaazim-e-sarkaar-e-girya ho
yaa.n juz guhar KHazaane me.n tanKHvaah hii nahii.n
Qayem Chaandpuri
Sher
huuro.n kii talab aur mai o saaGar se hai nafrat
zaahid tire irfaan se kuchh bhuul hu.ii hai
Saghar Siddiqui
Sher
muddat hu.ii hai bichh.De hu.e apne-aap se
dekhaa jo aaj tum ko to ham yaad aa ga.e
Saghar Khayyami
Sher
yahii sahbaa yahii saaGar yahii paimaana hai
chashm-e-saaqii hai ki mai-KHaane kaa mai-KHaana hai
Saghar Nizami
Sher
ham banaa.e.nge yahaa.n 'saGar' na.ii tasviir-e-shauq
ham taKHayyul ke mujaddid ham tasavvur ke imaam
Saghar Siddiqui
Sher
kaun kahtaa hai bulandii pe nahii.n huu.n 'saaGar'
merii me'raaj-e-mohabbat mirii rusvaa.ii hai
Saghar Khayyami
Sher
muddat hu.ii us ko ki mirii KHalvat-e-shab me.n
paiGaam jo laa.ii thii sabaa yaad hai ab tak
Sardar Khan Soz
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
mujh ko havas-e-baada-o-saaGar nahii.n saaqii
un mast nigaaho.n kaa bas ik jaam bahut hai
Wafa Shahjahanpuri
Sher
uThvaa.o mez se mai-o-saaGar 'riyaaz' jald
aate hai.n ik buzurg puraane KHayaal ke
Riyaz Khairabadi
Sher
baaG kis kaam kaa jis me.n gul o shamshaad na ho
lutf detii nahii.n be-shiisha-o-saaGar mahfil
Unknown
Sher
kyuu.n gardish-e-mudaam se ghabraa na jaa.e dil
insaan huu.n piyaala o saaGar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Sher
har-chand ho mushaahida-e-haq kii guftuguu
bantii nahii.n hai baada-o-saaGar kahe baGair
Mirza Ghalib
Sher
jaan merii mai o saaGar me.n pa.Dii rahtii hai
mai.n nikal kar bhii nikaltaa nahii.n mai-KHaane se
Jaleel Manikpuri
Sher
mai-kasho der hai kyaa daur chale bismillaah
aa.ii hai shiisha-o-saaGar kii talabgaar ghaTaa