SEARCH RESULTS
Showing search results for "miltan"
Sher MATCHES FOR "miltan"
Sher
Ahmad Faraz
Sher
tum takalluf ko bhii iKHlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahii.n har haath milaane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
mohabbato.n me.n dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahii.n miltaa to haath bhii na milaa
Bashir Badr
Sher
kabhii kisii ko mukammal jahaa.n nahii.n miltaa
kahii.n zamiin kahii.n aasmaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
itnii miltii hai mirii Gazlo.n se suurat terii
log tujh ko miraa mahbuub samajhte ho.nge
Bashir Badr
Sher
milnaa thaa ittifaaq bichha.Dnaa nasiib thaa
vo utnii duur ho gayaa jitnaa qariib thaa
Anjum Rehbar
Sher
Dhuu.nD uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
terii suurat se kisii kii nahii.n miltii suurat
ham jahaa.n me.n tirii tasviir liye phirte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
dil paagal hai roz na.ii naadaanii kartaa hai
aag me.n aag milaataa hai phir paanii kartaa hai
Iftikhar Arif
Sher
apne hone kaa kuchh ehsaas na hone se hu.aa
KHud se milnaa miraa ik shaKHs ke khone se hu.aa
Musavvir Sabzwari
Sher
milne kii tarah mujh se vo pal bhar nahii.n miltaa
dil us se milaa jis se muqaddar nahii.n miltaa