SEARCH RESULTS
Showing search results for "misraa-e-uulaa"
Sher MATCHES FOR "misraa-e-uulaa"
Sher
bait-bahsii na kar ai faaKHta gulshan me.n ki aaj
misra-e-sarv se mauzuu.n hai miraa misra-e-aah
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
piirii hu.ii shabaab se utraa jhaTak gayaa
shaa.er huu.n meraa misra-e-saanii laTak gayaa
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
hote hote na hu.aa misra-e-ra.ngii.n mauzuu.n
band kyuu.n ho gayaa KHuun-e-jigar aate aate
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
har gaam pe hii saa.e se ik misra.a-e-mauzuu.n
gar chand qadam chaliye to kyaa KHuub Gazal ho
Goya Faqir Mohammad
Sher
sher kii tarah jo hote hai.n mukammal kuchh log
vo binaa misra-e-saanii ke nahii.n hote hai.n
Nazir Wahid
Sher
KHushk sero.n tan-e-shaa.er kaa lahuu hotaa hai
tab nazar aatii hai ik misra-e-tar kii suurat
Ameer Minai
Sher
Sikandar Ali Wajd
Sher
said KHaa.if vo ho.n is said-gah-e-aalam me.n
apne saa.e ko samajhtaa huu.n ki sayyaad aayaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
tabl-o-alam hii paas hai.n apne na mulk-o-maal
ham se KHilaaf ho ke karegaa zamaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
tamaam umr kaTii us kii justujuu karte
ba.De dino.n me.n ye tarz-e-kalaam aayaa hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
misaal-e-aa.ina ham jab se hairatii hai.n tire
ki jin dino.n me.n na thaa tuu si.ngaar se vaaqif