SEARCH RESULTS
Showing search results for "missii"
Sher MATCHES FOR "missii"
Sher
Aasi Ghazipuri
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
itnii miltii hai mirii Gazlo.n se suurat terii
log tujh ko miraa mahbuub samajhte ho.nge
Bashir Badr
Sher
duniyaa jise kahte hai.n jaaduu kaa khilaunaa hai
mil jaa.e to miTTii hai kho jaa.e to sonaa hai
Nida Fazli
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
ek muddat se mirii maa.n nahii.n so.ii 'taabish'
mai.n ne ik baar kahaa thaa mujhe Dar lagtaa hai
Abbas Tabish
Sher
sharte.n lagaa.ii jaatii nahii.n dostii ke saath
kiije mujhe qubuul mirii har kamii ke saath
Waseem Barelvi
Sher
vo aks ban ke mirii chashm-e-tar me.n rahtaa hai
ajiib shaKHs hai paanii ke ghar me.n rahtaa hai
Bismil Sabri
Sher
kuchh to tire mausam hii mujhe raas kam aa.e
aur kuchh mirii miTTii me.n baGaavat bhii bahut thii
Parveen Shakir
Sher
tujhe kaun jaantaa thaa mirii dostii se pahle
tiraa husn kuchh nahii.n thaa mirii shaa.irii se pahle
Kaif Bhopali
Sher
mujhe ye Dar hai tirii aarzuu na miT jaa.e
bahut dino.n se tabii.at mirii udaas nahii.n
Nasir Kazmi
Sher
ghar lauT ke ro.e.nge maa.n baap akele me.n
miTTii ke khilaune bhii saste na the mele me.n
Qaisarul Jafri
Sher
jab bhii kashtii mirii sailaab me.n aa jaatii hai
maa.n du.aa kartii hu.ii KHvaab me.n aa jaatii hai