SEARCH RESULTS
Showing search results for "misvaak"
Sher MATCHES FOR "misvaak"
Sher
chaa.nd saa misra akelaa hai mire kaaGaz par
chhat pe aa jaa.o miraa sher mukammal kar do
Bashir Badr
Sher
kahaa.n milegii misaal merii sitamgarii kii
ki mai.n gulaabo.n ke zaKHm kaa.nTo.n se sii rahaa huu.n
Mohsin Naqvi
Sher
mai.n chaahtaa huu.n mohabbat mujhe fanaa kar de
fanaa bhii aisaa ki jis kii ko.ii misaal na ho
Jawad Sheikh
Sher
TuuTe but masjid banii mismaar but-KHaana hu.aa
jab to ik suurat bhii thii ab saaf viiraana hu.aa
Rind Lakhnavi
Sher
Abdul Ahad Saaz
Sher
zamaana aql ko samjhaa hu.aa hai mish.al-e-raah
kise KHabar ki junuu.n bhii hai saahib-e-idraak
Allama Iqbal
Sher
Fuzail Jafri
Sher
ham ne us chehre ko baa.ndhaa nahii.n mahtaab-misaal
ham ne mahtaab ko us ruKH ke mumaasil baa.ndhaa
Iftikhar Mughal
Sher
jalaa ke mish.al-e-jaa.n ham junuu.n-sifaat chale
jo ghar ko aag lagaa.e hamaare saath chale
Majrooh Sultanpuri
Sher
achchhii misaal bantii.n zaahir agar vo hotii.n
in nekiyo.n ko ham to dariyaa me.n Daal aa.e
Muneer Niyazi
Sher
kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar
azal kaa rang hai jaise misaal se baahar
Amjad Islam Amjad
Sher
hai.n raakh raakh magar aaj tak nahii.n bikhre
kaho havaa se hamaarii misaal le aa.e
Farooq Shamim
Sher
ik husn-e-be-misaal kii tamsiil ke liye
parchhaa.iyo.n pe rang giraataa rahaa huu.n mai.n
Jaun Eliya
Sher
Fazil Jamili
Sher
mujhe taraash ke rakh lo ki aane vaalaa vaqt
KHazaf dikhaa ke guhar kii misaal puuchhegaa