SEARCH RESULTS
Showing search results for "mizaaj-e-KHud"
Sher MATCHES FOR "mizaaj-e-KHud"
Sher
tuu KHvaab hii me.n sahii aa ke KHud javaab to de
bujhii bujhii sii mirii aarzuu ko aab to de
A. D. Azhar
Sher
samajh to ye ki na samjhe KHud apnaa ra.ng-e-junuu.n
mizaaj ye ki zamaana mizaaj-daa.n hotaa
Aal-e-Raza Raza
Sher
is qadar mahv na ho.n aap KHud-aaraa.ii me.n
daaG lag jaa.e na aa.iina-e-yaktaa.ii me.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
shikva sun kar jo mizaaj-e-but-e-bad-KHuu badlaa
ham ne bhii saath hii taqriir kaa pahluu badlaa
Bekhud Badayuni
Sher
mizaaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchaane
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
na puuchh sher hai kyaa chiiz mujh se ai hamdam
mizaaj-e-aatish-e-sozaa.n lataafat-e-shabnam
Izhaar Malihabadi
Sher
huu.n mai.n vo diivaana-e-naazuk-mizaaj-e-gul-ruKHaa.n
kiijiye zanjiir jis ko saaya-e-zanjiir se
Meer Mohammadi Bedar
Sher
jo chaahte ho badalnaa mizaaj-e-tuufaa.n ko
to naaKHudaa pe bharosaa karo KHudaa kii tarah
Aatish Bahawalpuri
Sher
Akhtar Orenwi
Sher
jaa kam se kam namaaz to pa.Dh but-kade me.n shaiKH
KHushnuudii-e-mizaaj-e-barahman ke vaaste
Divakar Rahi
Sher
jis gha.Dii puuchh rahaa thaa vo mire dil kaa mizaaj
ai mirii aa.nkh tujhe KHuun se bhar jaanaa thaa
Moid Rasheedi
Sher
sadiyo.n me.n jaa ke bantaa hai aaKHir mizaaj-e-dahr
'madnii' ko.ii taGayyur-e-aalam hai be-sabab
Aziz Hamid Madni
Sher
mizaaj-e-husn to ik haal par rahaa qaa.em
luTaane vaalo.n ne sab kuchh luTaa ke dekh liyaa
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
hamesha se mizaaj-e-husn me.n diqqat-pasandii hai
mirii dushvaariyaa.n aasaan honaa saKHt mushkil hai
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Nawab Ali Asghar
Sher
ab na vo zauq-e-vafaa hai na mizaaj-e-Gam hai
huu-ba-huu garche ko.ii terii misaal aayaa thaa