SEARCH RESULTS
Showing search results for "mizaaj-e-aa.ina"
Sher MATCHES FOR "mizaaj-e-aa.ina"
Sher
samajh to ye ki na samjhe KHud apnaa ra.ng-e-junuu.n
mizaaj ye ki zamaana mizaaj-daa.n hotaa
Aal-e-Raza Raza
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
is qadar mahv na ho.n aap KHud-aaraa.ii me.n
daaG lag jaa.e na aa.iina-e-yaktaa.ii me.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
mizaaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchaane
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
shikva sun kar jo mizaaj-e-but-e-bad-KHuu badlaa
ham ne bhii saath hii taqriir kaa pahluu badlaa
Bekhud Badayuni
Sher
na puuchh sher hai kyaa chiiz mujh se ai hamdam
mizaaj-e-aatish-e-sozaa.n lataafat-e-shabnam
Izhaar Malihabadi
Sher
huu.n mai.n vo diivaana-e-naazuk-mizaaj-e-gul-ruKHaa.n
kiijiye zanjiir jis ko saaya-e-zanjiir se
Meer Mohammadi Bedar
Sher
Akhtar Orenwi
Sher
KHaak me.n daulat-e-pindaar-o-anaa miltii hai
apnii miTTii se bichha.Dne kii sazaa miltii hai
Iftikhar Arif
Sher
jo chaahte ho badalnaa mizaaj-e-tuufaa.n ko
to naaKHudaa pe bharosaa karo KHudaa kii tarah
Aatish Bahawalpuri
Sher
hamesha se mizaaj-e-husn me.n diqqat-pasandii hai
mirii dushvaariyaa.n aasaan honaa saKHt mushkil hai
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Saleem Kausar
Sher
kaam aa.egii mizaaj-e-ishq kii aashuftagii
aur kuchh ho yaa na ho ha.ngaama-e-mahfil sahii
Saba Akbarabadi
Sher
hame.n bhii arz-e-tamannaa kaa Dhab nahii.n aataa
mizaaj-e-yaar bhii saada hai kyaa kiyaa jaa.e
Ahmad Faraz
Sher
Fani Badayuni
Sher
mizaaj-e-husn to ik haal par rahaa qaa.em
luTaane vaalo.n ne sab kuchh luTaa ke dekh liyaa
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
Sher
mizaaj-e-dard ko sab lafz bhii qubuul na the
kisii kisii ko tire Gam kaa isti.aara kiyaa