SEARCH RESULTS
Showing search results for "mo'taqid"
Sher MATCHES FOR "mo'taqid"
Sher
'haalii' suKHan me.n 'sheftaa' se mustafiid hai
'Gaalib' kaa mo'taqid hai muqallid hai 'miir' kaa
Altaf Hussain Hali
Sher
'Gaalib' apnaa ye aqiida hai ba-qaul-e-'naasiKH'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'miir' nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
shubh 'naasiKH' nahii.n kuchh 'miir' kii ustaadii me.n
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'miir' nahii.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
jab tak ki na dekhaa thaa qad-e-yaar kaa aalam
mai.n mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hu.aa thaa
Mirza Ghalib
Sher
kis qadar mo'taqid-e-husn-e-mukaafaat huu.n mai.n
dil me.n KHush hotaa huu.n jab ranj sivaa hotaa hai
Mirza Hadi Ruswa
Sher
har muttaqii ko is se sabaq lenaa chaahiye
jannat kii chaah ne jise shaddaad kar diyaa
Nomaan Shauque
Sher
hai mausam-e-bahaar kaa aaGaaz qahr hai
ab bhii agar chaman me.n havaa mo'tadil na ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
in kii mizha hai ka.aba-e-abruu me.n mo.atakif
khii.nchaa kabhii na tiir ne chilla kamaan me.n
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
har shaKHs mo'tarif ki muhibb-e-vatan huu.n mai.n
phir adliya ne kyuu.n sar-e-maqtal kiyaa mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
mar gayaa hotaa na hotii qahr me.n shaamil jo mehr
sehhat-e-dil is davaa-e-mo'tadil ne kii Garaz
Meer Hasan
Sher
mo.atakif ho shaiKH apne dil me.n masjid se nikal
saahib-e-dil kii baGal me.n dil ibaadat-KHaana hai