SEARCH RESULTS
Showing search results for "mohabbat-e-naa-ravaa.n"
Sher MATCHES FOR "mohabbat-e-naa-ravaa.n"
Sher
maKHluuq ko tumhaarii mohabbat me.n ai buto
iimaan kaa KHayaal na islaam kaa lihaaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ye maajraa-e-mohabbat samajh me.n aa na sakaa
vo haath aa.e to mai.n haath unhe.n lagaa na sakaa
Shakir Kalkattvi
Sher
mohabbat zulf kaa aaseb jaaduu hai nigaaho.n kaa
mohabbat fitna-e-mahshar balaa-e-naa-gahaanii hai
Khar Dehlavi
Sher
Ajiz Matvi
Sher
hai chashm niim-baaz ajab KHvaab-e-naaz hai
fitna to so rahaa hai dar-e-fitna baaz hai
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
umr sayyaad kii guzrii isii jaasuusii me.n
gul ko naama na kare murG-e-giraftaar-e-ravaa.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
is dasht pe ehsaa.n na kar ai abr-e-ravaa.n aur
jab aag ho nam-KHurda to uThtaa hai dhu.aa.n aur
Himayat Ali Shayar
Sher
ik KHalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.n rahne diyaa
jaan kar ham ne unhe.n naa-mehrbaa.n rahne diyaa
Adeeb Saharanpuri
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
ma.aluum jo hotaa hame.n anjaam-e-mohabbat
lete na kabhii bhuul ke ham naam-e-mohabaat
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
maayuusii-e-ma.aal-e-mohabbat na puuchhiye
apno.n se pesh aa.e hai.n begaanagii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
yaa husn hai naa-vaaqif-e-pindaar-e-mohabbat
yaa ishq hii aasaanii-e-atvaar me.n gum hai
Naeem Zarrar Ahmad
Sher
Nazm Tabatabai
Sher
tah me.n dariyaa-e-mohabbat ke thii kyaa chiiz 'aziiz'
jo ko.ii Duub gayaa us ko ubharne na diyaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
ban jaa.uu.n na begaana-e-aadaab-e-mohabbat
itnaa na qariib aa.o munaasib to yahii hai
Jigar Moradabadi
Sher
abhii na chhe.D mohabbat ke giit ai mutrib
abhii hayaat kaa maahaul KHush-gavaar nahii.n
Sahir Ludhianvi
Sher
majaal-e-tark-e-mohabbat na ek baar hu.ii
KHayaal-e-tark-e-mohabbat to baar baar kiyaa