SEARCH RESULTS
Showing search results for "mohammad rafi"
Sher MATCHES FOR "mohammad rafi"
Sher
kahiyo sabaa salaam hamaaraa bahaar se
ham to chaman ko chho.D ke suu-e-qafas chale
Mohammad Rafi Sauda
Sher
badlaa tire sitam kaa ko.ii tujh se kyaa kare
apnaa hii tuu farefta hove KHudaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ve suurate.n ilaahii kis mulk bastiyaa.n hai.n
ab dekhne ko jin ke aa.nkhe.n tarastiyaa.n hai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
har aan aa mujhii ko sataate ho naaseho
samjhaa ke tum use bhii to yak-baar kuchh kaho
Mohammad Rafi Sauda
Sher
'saudaa' se shaKHs ke ta.ii.n aazurda kiijiye
ai KHud-parast haif nahii.n tuu vafaa-parast
Mohammad Rafi Sauda
Sher
jab yaar ne uThaa kar zulfo.n ke baal baa.ndhe
tab mai.n ne apne dil me.n laakho.n KHayaal baa.ndhe
Mohammad Rafi Sauda
Sher
gila likhuu.n mai.n agar terii bevafaa.ii kaa
lahuu me.n Garq safiina ho aashnaa.ii kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
'saudaa' KHudaa ke vaaste kar qissa muKHtasar
apnii to nii.nd u.D ga.ii tere fasaane me.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ammaame ko utaar ke pa.Dhiyo namaaz shaiKH
sajde se varna sar ko uThaayaa na jaa.egaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
saaqii ga.ii bahaar rahii dil me.n ye havas
tuu minnato.n se jaam de aur mai.n kahuu.n ki bas
Mohammad Rafi Sauda
Sher
'saudaa' hu.e jab aashiq kyaa paas aabruu kaa
suntaa hai ai divaane jab dil diyaa to phir kyaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
har sang me.n sharaar hai tere zuhuur kaa
muusaa nahii.n jo sair karuu.n koh-e-tuur kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
saaqii hamaarii tauba tujh par hai kyuu.n gavaara
minnat nahii.n to zaalim tarGiib yaa ishaara
Mohammad Rafi Sauda
Sher
itnaa likhaa.iyo mirii lauh-e-mazaar par
yaa.n tak na zii-hayaat ko ko.ii KHafaa kare