SEARCH RESULTS
Showing search results for "mohre"
Sher MATCHES FOR "mohre"
Sher
KHudaa ke vaaste mohr-e-sukuut to.D bhii de
tamaam shahr tirii guftuguu kaa pyaasaa hai
Hayat Lakhnavi
Sher
hai.n jitne mohre yahaa.n saare piTne vaale hai.n
kise mai.n shah karuu.n apnaa kise Gulaam karuu.n
zafar iqbal zafar
Sher
rakhte hai.n dahaano.n pe sadaa mohr-e-KHamoshii
ve log jinhe.n aatii hai guftaar-e-mohabbat
Joshish Azimabadi
Sher
naala-e-be-saut KHud ban.ne lagaa mohr-e-sukuut
be-zabaanii ko hamaarii ab zabaa.n se kyaa Garaz
Qadr Oraizi
Sher
duniyaa sabab-e-shorish-e-Gam puuchh rahii hai
ik mohr-e-KHamoshii hai ki ho.nTo.n pe lagii hai
Ejaz Siddiqi
Sher
Ameer Khusrau
Sher
mirii hathelii pe ho.nTo.n se aisii mohr lagaa
ki umr bhar ke liye mai.n bhii surKH-ruu ho jaa.uu.n
Munawwar Rana
Sher
jis KHat pe ye lagaa.ii usii kaa milaa javaab
ik mohr mere paas hai dushman ke naam kii
Dagh Dehlvi
Sher
baiThe bhare hu.e hai.n KHum-e-mai kii tarah ham
par kyaa kare.n ki mohr hai mu.nh par lagii hu.ii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
laa.o to qatl-naama miraa mai.n bhii dekh luu.n
kis kis kii mohr hai sar-e-mahzar lagii hu.ii
Unknown
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ye sar-ba-mohr botale.n hai.n jo sharaab kii
raate.n hai.n un me.n band hamaarii shabaab kii
Riyaz Khairabadi
Sher
yuu.n baaGbaa.n ne mohr lagaa dii zabaan par
ruudaad-e-Gam nasiib ke maare na kah sake
Salam Sandelvi
Sher
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
Sher
phir chhuu gayaa hai pyaar se ko.ii zamiin-e-dil
khilne lage hai.n dasht me.n phir mogre ke phuul