SEARCH RESULTS
Showing search results for "mubarraa"
Sher MATCHES FOR "mubarraa"
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
terii baKHshish ke bharose pe KHataa.e.n kii hai.n
terii rahmat ke sahaare ne gunahgaar kiyaa
Mubarak Azimabadi
Sher
ye adaa-e-be-niyaazii tujhe bevafaa mubaarak
magar aisii be-ruKHii kyaa ki salaam tak na pahu.nche
Shakeel Badayuni
Sher
us se milnaa to use eid-mubaarak kahnaa
ye bhii kahnaa ki mirii eid mubaarak kar de
Dilawar Ali Aazar
Sher
jo log guzarte hai.n musalsal rah-e-dil se
din eid kaa un ko ho mubaarak tah-e-dil se
Obaid Azam Azmi
Sher
mujh ko ma.aluum hai anjaam-e-mohabbat kyaa hai
ek din maut kii ummiid pe jiinaa hogaa
Mubarak Azimabadi
Sher
ye be-KHudii ye labo.n kii ha.nsii mubaarak ho
tumhe.n ye saalgirah kii KHushii mubaarak ho
Unknown
Sher
ilaahii ek Gam-e-rozgaar kyaa kam thaa
ki ishq bhej diyaa jaan-e-mubtalaa ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
aisaa na ho ye dard bane dard-e-laa-davaa
aisaa na ho ki tum bhii mudaavaa na kar sako