SEARCH RESULTS
Showing search results for "muddat-baad"
Sher MATCHES FOR "muddat-baad"
Sher
vo ba.ad-e-muddat milaa to rone kii aarzuu me.n
nikal ke aa.nkho.n se gir pa.De chand KHvaab aage
Hasan Abbasi
Sher
ba.ad muddat ye jilaa kis ke hunar ne baKHshii
ba.ad muddat mire aa.iine me.n chehre aa.e
Bakul Dev
Sher
muddat ke baa'd aaj use dekh kar 'muniir'
ik baar dil to dha.Dkaa magar phir sambhal gayaa
Muneer Niyazi
Sher
muddat ke baa'd aaj mai.n office nahii.n gayaa
KHud apne saath baiTh ke din bhar sharaab pii
Fazil Jamili
Sher
Aleena Itrat
Sher
ba.ad muddat ke ye ai 'daaG' samajh me.n aayaa
vahii daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
Dagh Dehlvi
Sher
ba.ad muddat ke gulaabo.n kii mahak aa.ii hai
us ne pardes se bhejaa ko.ii KHat hai mujh ko
Rahat Hasan
Sher
ba.ad muddat gardish-e-tasbiih se 'miskii.n' hame.n
daana-e-tasbiih me.n zunnaar aataa hai nazar
Miskeen Shah
Sher
muddat ke baa'd us ne jo kii lutf kii nigaah
jii KHush to ho gayaa magar aa.nsuu nikal pa.De
Kaifi Azmi
Sher
muddat ke baad KHvaab me.n aayaa thaa meraa baap
aur us ne mujh se itnaa kahaa KHush rahaa karo
Abbas Tabish
Sher
muddat ke baa'd 'nuur' ha.nsii lab pe aa.ii hai
vo apnaa ham-KHayaal banaa le gayaa mujhe
Krishn Bihari Noor
Sher
bulbul chahak ke kahtii hai muddat ke baa'd phir
gulshan me.n aaj aamad-e-fasl-e-bahaar hai
Mahmooda Akhtar Mahmooda
Sher
nazar aatii nahii.n ab dil me.n tamannaa ko.ii
baad muddat ke tamannaa mirii bar aa.ii hai
Altaf Hussain Hali
Sher
bazm-e-aGyaar me.n us ne mujhe daryaaft kiyaa
ba.ad muddat ke use yaad mirii aa.ii hai