SEARCH RESULTS
Showing search results for "muftii"
Sher MATCHES FOR "muftii"
Sher
vo aur va.ada vasl kaa qaasid nahii.n nahii.n
sach sach bataa ye lafz unhii kii zabaa.n ke hai.n
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
ai dil tamaam naf.a hai saudaa-e-ishq me.n
ik jaan kaa ziyaa.n hai so aisaa ziyaa.n nahii.n
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
ik zaraa sii baat pe ye mu.nh banaanaa ruuThnaa
is tarah to ko.ii apno.n se KHafaa hotaa nahii.n
Ibn-e-Mufti
Sher
fatvaa diyaa hai muftii-e-abr-e-bahaar ne
tauba kaa KHuun baada-kasho.n ko halaal hai
Jaleel Manikpuri
Sher
'aazurdaa' mar ke kuucha-e-jaanaa.n me.n rah gayaa
dii thii du.aa kisii ne ki jannat me.n ghar mile
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
is dard-e-judaa.ii se kahii.n jaan nikal jaa.e
'aazurdaa' mire haq me.n zaraa yuu.n bhii du.aa kar
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
naaseh yahaa.n ye fikr hai siina bhii chaak ho
hai fikr-e-baKHiya tujh ko garebaa.n ke chaak me.n