SEARCH RESULTS
Showing search results for "muja.ad"
Sher MATCHES FOR "muja.ad"
Sher
manzil milii muraad milii mudda.aa milaa
sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa
Seemab Akbarabadi
Sher
ishq me.n shikva kufr hai aur har iltijaa haraam
to.D de kaasa-e-muraad ishq gadaagarii nahii.n
Asar Rampuri
Sher
is daur-e-naa-muraad se ye tajraba hu.aa
diivaar guftuguu ke liye behtariin hai
Rana Amir Liyaqat
Sher
baadbaa.n naaz se lahraa ke chalii baad-e-muraad
kaarvaa.n eid manaa qaafila-saalaar aayaa
Josh Malihabadi
Sher
kabhii jo yaar ko dekhaa to KHvaab me.n dekhaa
mirii muraad bhii aa.ii to musta.aar aa.ii
Agha Hajju Sharaf
Sher
mai.n ne itnaa use chaahaa hai ki vo jaan-e-muraad
KHud ko zanjiir-e-mohabbat se rihaa chaahtii hai
Irfan Siddiqi
Sher
mai.n naa-muraad dil kii tasallii ko kyaa karuu.n
maanaa ki tere ruKH se nigah kaamyaab hai
Mirza Ghalib
Sher
muujid jo nuur kaa hai vo meraa charaaG hai
parvaana huu.n mai.n anjuman-e-kaa.enaat kaa
Agha Hajju Sharaf
Sher
kis manzil-e-muraad kii jaanib ravaa.n hai.n ham
ai rah-ravaan-e-KHaak-basar puuchhte chalo
Sahir Ludhianvi
Sher
ek bose se muraad-e-dil-e-naashaad to do
kuchh na do haath se par mu.nh se mirii daad to do
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
bazm me.n aa.o kisii din kar ke tum sola-si.ngaar
ik qayaamat vaqt se pahle bhii aanaa chaahiye
Murad Lakhnavi
Sher
mire kariim inaayat se terii kyaa na milaa
gunaah kar ke bhii be-muzad aab-o-daana milaa
Agha Shayar Qazalbash
Sher
mile muraad hamaarii magar mile bhii kahii.n
KHudaa kare magar aisaa KHudaa nahii.n kartaa
Natiq Gulavthi
Sher
umre.n guzar ga.ii hai.n asar kii talaash me.n
kis naa-muraad lab kii du.aa ho ga.e hai.n ham
Khadim Razmi
Sher
Zia Zameer
Sher
ik nazar dekh mire dil kii taraf jaan-e-muraad
aa.ina siina-e-sad-chaak se behtar to nahii.n
Moid Rasheedi
Sher
nasiib us ke sharaab-e-bahisht hove mudaam
hu.aa hai jo ko.ii muujid sharaab-KHaane kaa