SEARCH RESULTS
Showing search results for "mujtahid-e-vaqt"
Sher MATCHES FOR "mujtahid-e-vaqt"
Sher
Ibn e Insha
Sher
tundii-e-sail-e-vaqt me.n ye bhii hai ko.ii zindagii
sub.h hu.ii to jii uThe, raat hu.ii to mar ga.e
Hazin Ludhianvi
Sher
ba-qaid-e-vaqt pa.Dhii mai.n ne pa.njgaana namaaz
sharaab piine me.n kuchh ehtiyaat mujh ko nahii.n
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
gumrahii rahh-numaa.ii ke muqaabil aa.ii
vaqt ne dekhiye diivaar pe likkhaa kyaa hai
Matin Niazi
Sher
sadaa-e-vaqt kii gar baaz-gasht san paa.o
mire KHayaal ko tum shaa.iraana kah denaa
Mohsin Bhopali
Sher
zindagii kashmakash-e-vaqt me.n guzrii apnii
din ne jiine na diyaa raat ne marne na diyaa
Ram Riyaz
Sher
muTThiyo.n me.n KHaak le kar dost aa.e vaqt-e-dafn
zindagii bhar kii mohabbat kaa silaa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
roke se kahii.n haadsa-e-vaqt rukaa hai
sho.alo.n se bachaa shahr to shabnam se jalaa hai
Ali Ahmad Jalili
Sher
maqtal-e-vaqt me.n KHaamosh gavaahii kii tarah
dil bhii kaam aayaa hai gumnaam sipaahii kii tarah
Parveen Shakir
Sher
band rahte hai.n jo alfaaz kitaabo.n me.n sadaa
gardish-e-vaqt miTaa detii hai pahchaan un kii
Aleena Itrat
Sher
badaltii rahtii hai.n qadre.n rahiil-e-vaqt ke saath
zamaana badlegaa har shai kaa naam badlegaa
Wamiq Jaunpuri
Sher
yaziid-e-vaqt miraa KHuu.n bahaanaa chaahtaa hai
vo karbalaa me.n mujhe phir se laanaa chaahtaa hai
Imtiyaz Danish Nadwi
Sher
yaziid-e-vaqt kii niinde.n haraam hotii hai.n
husain ab bhii tire ijtimaa-e-chehlum se
Ibrahim Noori
Sher
masruur-o-mutma.in hai.n bahut taajiraan-e-vaqt
kyaa zindagii ke KHvaab bhii niilaam ho ga.e
Azmat Abdul Qayyum Khan
Sher
huduud-e-vaqt ke darvaaze muntazir hai.n 'nasiim'
ki tuu ye faasle kar ke ubuur dastak de
Naseem Sahar
Sher
kahnaa pa.Daa unhii.n ko masiihaa-e-vaqt bhii
jin se hamaare dard kaa darmaa.n na ho sakaa
Zahida Kamal
Sher
ai vaqt tuu kahii.n bhii kisii kaa hu.aa hai kyaa
kyaa tujh ko dekhnaa tirii saa.at ko dekhnaa
Meer Ahmad Naved
Sher
mai.n kaise maan luu.n vo masiihaa-e-vaqt hai
kirdaar us kaa laa.eq-e-dastaar bhii nahii.n