SEARCH RESULTS
Showing search results for "mukarrar"
Sher MATCHES FOR "mukarrar"
Sher
yaa-rab zamaana mujh ko miTaataa hai kis liye
lauh-e-jahaa.n pe harf-e-mukarrar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Sher
bahraa huu.n mai.n to chaahiye duunaa ho iltifaat
suntaa nahii.n huu.n baat mukarrar kahe baGair
Mirza Ghalib
Sher
munhasir vaqt-e-muqarrar pe mulaaqaat hu.ii
aaj ye aap kii jaanib se na.ii baat hu.ii
Hasrat Mohani
Sher
har gha.Dii kaa ye biga.Dnaa nahii.n achchhaa ai jaan
ruuThne kaa bhii ko.ii vaqt muqarrar ho jaa.e
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
tere na ho sake to kisii ke na ho sake
ye kaarobaar-e-shauq mukarrar na ho sakaa
Khalilur Rahman Azmi
Sher
Subodh Lal Saqi
Sher
dildaar kii galii me.n mukarrar ga.e hai.n ham
ho aa.e hai.n abhii to phir aa kar ga.e hai.n ham
Abroo Shah Mubarak
Sher
tuu samajhtaa hai mujhe harf-e-mukarrar lekin
mai.n sahiifa huu.n tire dil pe utarne vaalaa
Midhat-ul-Akhtar
Sher
malte hai.n KHuub-ruu tire KHeme se chhaatiyaa.n
a.ngiyaa kii Doriyaa.n hai.n muqarrar qanaat me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
maah kii aa.nkh jo rahtii hai lagii uudhar hii
us ne phir rauzan-e-nazzaara muqarrar kholaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Dinesh Kumar
Sher
mire zavaal kii ko.ii to had muqarrar kar
tirii nazar se musalsal utar rahaa huu.n mai.n
Devang Thakur
Sher
KHvaahish-e-vasl se KHat pa.Dhne ke qaabil na rahaa
lipTe alfaaz se alfaaz mukarrar ho kar
Naseem Dehlvi
Sher
kabhii kisii ko mukammal jahaa.n nahii.n miltaa
kahii.n zamiin kahii.n aasmaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Sher
ab judaa.ii ke safar ko mire aasaan karo
tum mujhe KHvaab me.n aa kar na pareshaan karo
Munawwar Rana
Sher
tumhaarii aa.nkho.n kii tauhiin hai zaraa socho
tumhaaraa chaahne vaalaa sharaab piitaa hai
Munawwar Rana
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge