SEARCH RESULTS
Showing search results for "mulaazim-e-mausam"
Sher MATCHES FOR "mulaazim-e-mausam"
Sher
aa ai 'asar' mulaazim-e-sarkaar-e-girya ho
yaa.n juz guhar KHazaane me.n tanKHvaah hii nahii.n
Qayem Chaandpuri
Sher
ja.ngal me.n Tesuu phuulaa aur baaG me.n shaguufa
fasl-e-bahaar aa.ii mausam gayaa KHizaa.n kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
misl-e-mausam jo badalte to ko.ii baat na thii
tuu ne to badlaa hai girgiT kii tarah rang apnaa
Manzar Suhai
Sher
Gulnar Aafreen
Sher
ho gayaa mehmaa.n-saraa-e-kasrat-e-mauhuum aah
vo dil-e-KHaalii ki teraa KHaas KHalvat-KHaana thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
azm-e-mohkam ho to hotii hai.n balaa.e.n paspaa
kitne tuufaan palaT detaa hai saahil tanhaa
Bekal Utsahi
Sher
kyaa taa.at-e-mudaam kaa in.aam hai yahii
yuu.n jii rahe hai.n jaise hamaaraa KHudaa nahii.n
Shahryar Pardaz
Sher
kyuu.n gardish-e-mudaam se ghabraa na jaa.e dil
insaan huu.n piyaala o saaGar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Sher
ajab nahii.n ki ho diivaar nuqta-e-mauhuum
makaan ho ki makii.n do dilo.n kaa milnaa dekh
Syed Amin Ashraf
Sher
parda-e-hijr vahii hasti-e-mauhuum thii 'yaas'
sach hai pahle nahii.n maaluum thaa ye raaz mujhe
Yagana Changezi
Sher
mai.n jab pe.D se gir ke zamii.n kii KHaak hu.aa
tab ik aalam-e-mauhuum samajh me.n aayaa
Krishna Kumar Toor
Sher
Chandu Lal Bahadur Shadan
Sher
maa.n ke KHuluus jaisaa thaa mausam bahaar kaa
fasl-e-KHizaa.n hai sar-phirii aulaad kii tarah