SEARCH RESULTS
Showing search results for "muriid"
Sher MATCHES FOR "muriid"
Sher
muriid-e-saada to ro ro ke ho gayaa taa.ib
KHudaa kare ki mile shaiKH ko bhii ye taufiiq
Allama Iqbal
Sher
mai.n piir ho gayaa huu.n aur ab tak javaa.n hai dard
mere muriid ho jo tumhe.n dostaa.n hai dard
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
piir ho shaiKH hu.aa hai dekho tiflo.n kaa muriid
murda bolaa hai kafan phaa.D qayaamat aa.ii
Wali Uzlat
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
diivaangii ke silsila kaa ho.e jo muriid
us gesuu-e-daraaz sivaa piir hii nahii.n
Waliullah Muhib
Sher
manzil milii muraad milii mudda.aa milaa
sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa
Seemab Akbarabadi
Sher
ishq me.n shikva kufr hai aur har iltijaa haraam
to.D de kaasa-e-muraad ishq gadaagarii nahii.n
Asar Rampuri
Sher
is daur-e-naa-muraad se ye tajraba hu.aa
diivaar guftuguu ke liye behtariin hai
Rana Amir Liyaqat
Sher
baadbaa.n naaz se lahraa ke chalii baad-e-muraad
kaarvaa.n eid manaa qaafila-saalaar aayaa
Josh Malihabadi
Sher
kabhii jo yaar ko dekhaa to KHvaab me.n dekhaa
mirii muraad bhii aa.ii to musta.aar aa.ii
Agha Hajju Sharaf
Sher
mai.n ne itnaa use chaahaa hai ki vo jaan-e-muraad
KHud ko zanjiir-e-mohabbat se rihaa chaahtii hai
Irfan Siddiqi
Sher
mai.n naa-muraad dil kii tasallii ko kyaa karuu.n
maanaa ki tere ruKH se nigah kaamyaab hai
Mirza Ghalib
Sher
muujid jo nuur kaa hai vo meraa charaaG hai
parvaana huu.n mai.n anjuman-e-kaa.enaat kaa
Agha Hajju Sharaf
Sher
kis manzil-e-muraad kii jaanib ravaa.n hai.n ham
ai rah-ravaan-e-KHaak-basar puuchhte chalo
Sahir Ludhianvi
Sher
ek bose se muraad-e-dil-e-naashaad to do
kuchh na do haath se par mu.nh se mirii daad to do
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
bazm me.n aa.o kisii din kar ke tum sola-si.ngaar
ik qayaamat vaqt se pahle bhii aanaa chaahiye
Murad Lakhnavi
Sher
mile muraad hamaarii magar mile bhii kahii.n
KHudaa kare magar aisaa KHudaa nahii.n kartaa