SEARCH RESULTS
Showing search results for "musallam"
Sher MATCHES FOR "musallam"
Sher
tishnagii merii musallam hai magar jaane kyuu.n
log de dete hai.n TuuTe hu.e pyaale mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
barq kii sho.ala-mizaajii hai musallam lekin
mai.n ne dekhaa mire saa.e se ye katraatii hai
Shaukat Pardesi
Sher
azmat-e-ka.aba musallam hai magar but-kada me.n
ek aaraam ye kaisaa hai ki kuchh duur nahii.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
haram-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ek
kuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ek
Allama Iqbal
Sher
Waseem Barelvi
Sher
bastii me.n apnii hinduu musalmaa.n jo bas ga.e
insaa.n kii shakl dekhne ko ham taras ga.e
Kaifi Azmi
Sher
Allama Iqbal
Sher
'umr saarii to kaTii 'ishq-e-butaa.n me.n 'momin'
aaKHirii vaqt me.n kyaa KHaak musalmaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
is qadar musalsal thii.n shiddate.n judaa.ii kii
aaj pahlii baar us se mai.n ne bevafaa.ii kii
Ahmad Faraz
Sher
Aashufta Changezi
Sher
hinduu chalaa gayaa na musalmaa.n chalaa gayaa
insaa.n kii justujuu me.n ik insaa.n chalaa gayaa
Asrarul Haq Majaz
Sher
yahii zindagii musiibat yahii zindagii musarrat
yahii zindagii haqiiqat yahii zindagii fasaana
Moin Ahsan Jazbi
Sher
jo log guzarte hai.n musalsal rah-e-dil se
din eid kaa un ko ho mubaarak tah-e-dil se
Obaid Azam Azmi
Sher
har ik shikast-e-tamannaa pe muskuraate hai.n
vo kyaa kare.n jo musalsal fareb khaate hai.n
Raaz Muradabadi
Sher
zindagii jabr-e-musalsal kii tarah kaaTii hai
jaane kis jurm kii paa.ii hai sazaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
aisaa hai ki sab KHvaab musalsal nahii.n hote
jo aaj to hote hai.n magar kal nahii.n hote