SEARCH RESULTS
Showing search results for "mushaahida"
Sher MATCHES FOR "mushaahida"
Sher
har-chand ho mushaahida-e-haq kii guftuguu
bantii nahii.n hai baada-o-saaGar kahe baGair
Mirza Ghalib
Sher
payambaro.n ne kahaa thaa ki jhuuT haaregaa
magar ye dekhiye apnaa mushaahida kyaa hai
Hasan Naim
Sher
mushaahida hai ki ahl-e-KHirad hu.e paspaa
jahaa.n bhii ahl-e-junuu.n se muqaabla Thahraa
Naim Hamid Ali
Sher
ajab nahii.n ki isii baat par la.Daa.ii ho
mu.aahida ye hu.aa hai ki ab la.De.nge nahii.n