SEARCH RESULTS
Showing search results for "musta"
Sher MATCHES FOR "musta"
Sher
thaa musta.aar husn se us ke jo nuur thaa
KHurshiid me.n bhii us hii kaa zarra zuhuur thaa
Meer Taqi Meer
Sher
Unknown
Sher
muusaa ke sar pe paa.nv hai ahl-e-nigaah kaa
us kii galii me.n KHaak u.Dii koh-e-tuur kii
Qalaq Merathi
Sher
kabhii jo yaar ko dekhaa to KHvaab me.n dekhaa
mirii muraad bhii aa.ii to musta.aar aa.ii
Agha Hajju Sharaf
Sher
har sang me.n sharaar hai tere zuhuur kaa
muusaa nahii.n jo sair karuu.n koh tuur kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
kaash mai.n terii mulaaqaat ko KHud hii aataa
tuur par bhej ke muusaa ko pashemaa.n huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
KHudaa kii den kaa muusaa se puuchhiye ahvaal
ki aag lene ko jaa.e.n payambarii mil jaa.e
Muztar Khairabadi
Sher
Gash khaa ke giraa pahle hii sho.ale kii jhalak se
muusaa ko bhalaa kahiye to kyaa tuur kii suujhii
Nazeer Akbarabadi
Sher
ye zindagii jise apnaa samajh rahe hai.n sab
hai musta.aar faqat raunaq-e-jahaa.n ke liye
Matin Niazi
Sher
muusaa nahii.n ki taab na laa.uu.n mai.n husn kii
be-parda saamne mire tuu bhii to aa ke dekh
Anisa Haroon Sharwaniya
Sher
vo to muusaa hu.aa jo taalib-e-diidaar hu.aa
phir vo kyaa hogaa ki jis ne tumhe.n dekhaa hogaa
Akbar Allahabadi
Sher
Manzar Lakhnavi
Sher
muusaa ne koh-e-tuur pe dekhaa jo kuchh vahii
aataa hai aarifo.n ko nazar sa.ng-o-KHisht me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
tuu jo muusaa ho to us kaa har taraf diidaar hai
sab ayaa.n hai kyaa tajallii ko yahaa.n takraar hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
vo zahr-haa-e-malaamat bhii ha.ns ke pii jaataa
zaraa sii baat kaa barso.n malaal bhii rakhtaa