SEARCH RESULTS
Showing search results for "mutlaq"
Sher MATCHES FOR "mutlaq"
Sher
ik kaafir-e-mutlaq hai zulmat kii javaanii bhii
be-rahm a.ndheraa hai sham.e.n hai.n na parvaane
Siraj Lakhnavi
Sher
shaahid-e-hastii-e-mutlaq kii kamar hai aalam
log kahte hai.n ki hai par hame.n manzuur nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
apne kahne me.n to dil mutlaq nahii.n kis se kahe.n
kyaa kare.n ai naaseho kuchh to karo irshaad tum
Meer Hasan
Sher
laazim hai soz-e-ishq kaa sho.ala ayaa.n na ho
jal bujhiye is tarah se ki mutlaq dhu.aa.n na ho
Rajab Ali Beg Suroor
Sher
Nooh Narvi
Sher
dars-e-ilm-e-ishq se vaaqif nahii.n mutlaq faqiih
nahv hii me.n mahv hai yaa sarf hii me.n sarf hai
Waliullah Muhib
Sher
Habeeb Moosavi
Sher
thak ga.e ham to fusuu.n-saaziyaa.n karte karte
us pe chaltaa nahii.n mutlaq ko.ii ganDaa ta.aviiz
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
naaseh bahut ba-fikr-e-rafuu thaa pe juu.n hubaab
mutlaq na us ke haath miraa pairahan lagaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Jaun Eliya
Sher
rone vaale tujhe rone kaa saliiqa hii nahii.n
ashk piine ke liye hai.n ki bahaane ke liye
Anand Narayan Mulla
Sher
Waseem Barelvi
Sher
'zauq' jo madrase ke big.De hu.e hai.n mullaa
un ko mai-KHaane me.n le aa.o sa.nvar jaa.e.nge
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
ab mai.n samjhaa tire ruKHsaar pe til kaa matlab
daulat-e-husn pe darbaan biThaa rakkhaa hai