SEARCH RESULTS
Showing search results for "naa-hanjaar"
Sher MATCHES FOR "naa-hanjaar"
Sher
aadmii se aadmii kii jab na haajat ho ravaa
kyuu.n KHudaa hii kii kare itnii na phir yaad aadmii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ham ne hazaar faasle jii kar tamaam shab
ik muKHtasar sii raat ko muddat banaa diyaa
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
Taleef Haidar
Sher
Josh Malihabadi
Sher
yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa
raat bhar taala-e-bedaar ne sone na diyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
shahr me.n thii naa-saaz tabii.at beTe kii
gaa.nv me.n baiThii maa.n ne khaanaa chho.D diyaa
Iftikhar Haidar
Sher
KHuun mazduur kaa miltaa jo na ta.amiiro.n me.n
na havelii na mahal aur na ko.ii ghar hotaa
Haidar Ali Jafri
Sher
kisii ne mol na puuchhaa dil-e-shikasta kaa
ko.ii KHariid ke TuuTaa piyaala kyaa kartaa
Haidar Ali Aatish
Sher
ab mulaaqaat hu.ii hai to mulaaqaat rahe
na mulaaqaat thii jab tak ki mulaaqaat na thii
Haidar Ali Aatish
Sher
but-KHaana to.D Daaliye masjid ko Dhaa.iye
dil ko na to.Diye ye KHudaa kaa maqaam hai
Haidar Ali Aatish
Sher
bhulaa na paayaa use jis ko bhuul jaanaa thaa
vafaa.o.n se miraa rishta bahut puraanaa thaa
Haidar Ali Jafri
Sher
na paak hogaa kabhii husn o ishq kaa jhag.Daa
vo qissa hai ye ki jis kaa ko.ii gavaah nahii.n
Haidar Ali Aatish
Sher
aadmii kyaa vo na samjhe jo suKHan kii qadr ko
nutq ne haivaa.n se musht-e-KHaak ko insaa.n kiyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
ye dil lagaane me.n mai.n ne mazaa uThaayaa hai
milaa na dost to dushman se ittihaad kiyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
libaas dekh ke itnaa hame.n Gariib na jaan
hamaaraa Gam tirii imlaak se ziyaada hai