SEARCH RESULTS
Showing search results for "naa-qaabil-e-e'tibaar"
Sher MATCHES FOR "naa-qaabil-e-e'tibaar"
Sher
aa.iina kabhii qaabil-e-diidaar na hove
gar KHaak ke saath us ko sarokaar na hove
Ishq Aurangabadi
Sher
aadam-e-KHaakii se aalam ko jilaa hai varna
aa.iina thaa to magar qaabil-e-diidaar na thaa
Meer Taqi Meer
Sher
tab.a kah aur Gazal, hai ye 'naziirii' kaa javaab
reKHta ye jo pa.Dhaa qaabil-e-iz.haar na thaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
tum aa.e ho na shab-e-intizaar guzrii hai
talaash me.n hai sahar baar baar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
Qateel Shifai
Sher
mirii sharaab kii tauba pe jaa na ai vaa.iz
nashe kii baat nahii.n e'tibaar ke qaabil
Hafeez Jaunpuri
Sher
tuufaa.n se bach ke Duubii hai kashtii kahaa.n na puuchh
saahil bhii e'tibaar ke qaabil nahii.n rahaa
Matin Niazi
Sher
'jalaal' ahd-e-javaanii hai doge dil sau baar
abhii kii tauba nahii.n e'tibaar ke qaabil
Jalal Lakhnavi
Sher
'aalam' dil-e-asiir ko samjhaa.uu.n kis tarah
kam-baKHt e'tibaar ke qaabil nahii.n hai vo
Alam Khursheed
Sher
mire junuu.n pe tumhe.n e.atibaar aa.e na aa.e
ye sar kaa zaKHm khulegaa bahaar aa.e na aa.e
Salim Saleem
Sher
kisii maraz kii davaa chashm-e-ashk-baar nahii.n
na intizaar ke qaabil na KHvaab ke qaabil
Jaleel Manikpuri
Sher
KHvaahish-e-vasl se KHat pa.Dhne ke qaabil na rahaa
lipTe alfaaz se alfaaz mukarrar ho kar