SEARCH RESULTS
Showing search results for "naa-ravaa"
Sher MATCHES FOR "naa-ravaa"
Sher
ko.ii ham-dam na rahaa ko.ii sahaaraa na rahaa
ham kisii ke na rahe ko.ii hamaaraa na rahaa
Majrooh Sultanpuri
Sher
use bhulaayaa to apnaa KHayaal bhii na rahaa
ki meraa saaraa asaasa isii makaan me.n thaa
Ahmad Mahfuz
Sher
khii.nch lii thii ik lakiir-e-naa-rasaa KHud darmiyaa.n
faasla-dar-faasla-dar-faasla honaa hii thaa
Zulfiqar Naqvi
Sher
tirii talaash se baaqii ko.ii makaa.n na rahaa
haram me.n dair me.n banda kahaa.n kahaa.n na rahaa
Hatim Ali Mehr
Sher
iz.haar naa-rasaa sahii vo suurat-e-jamaal
aa.iina-e-KHayaal me.n bhii huu-ba-huu na thii
Zia Jalandhari
Sher
milaa hai taKHt kise kaun taKHt par na rahaa
ye baat aur hai jaarii thaa jo safar na rahaa
Majid Siddiqui
Sher
havas-e-gul ke tasavvur me.n bhii khaTkaa na rahaa
ajab aaraam diyaa be-par-o-baalii ne mujhe
Mirza Ghalib
Sher
gudaaz-e-ishq nahii.n kam jo mai.n javaa.n na rahaa
vahii hai aag magar aag me.n dhu.aa.n na rahaa
Jigar Moradabadi
Sher
aah-e-be-asar niklii naala naa-rasaa niklaa
ik KHudaa pe takiya thaa vo bhii aap kaa niklaa
Aziz Qaisi
Sher
tiraa to kyaa ki KHud apnaa bhii mai.n kabhii na rahaa
mire KHayaal se KHvaabo.n kaa silsila le jaa
Lutf-ur-rahman
Sher
KHvaahish-e-vasl se KHat pa.Dhne ke qaabil na rahaa
lipTe alfaaz se alfaaz mukarrar ho kar
Naseem Dehlvi
Sher
KHauf-e-mahshar na rahaa dil me.n jo dekhaa mai.n ne
pusht par mere gunaaho.n ke hai rahmat us kii
Mohammad Baqar Shams
Sher
Hamza Bilal
Sher
jo tire dar se uThaa phir vo kahii.n kaa na rahaa
us kii qismat me.n rahii dar-badrii kahte hai.n
Aale Ahmad Suroor
Sher
Jiya Shah
Sher
aadmii se aadmii kii jab na haajat ho ravaa
kyuu.n KHudaa hii kii kare itnii na phir yaad aadmii