SEARCH RESULTS
Showing search results for "naaras"
Sher MATCHES FOR "naaras"
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
har nafas umr-e-guzishta kii hai mayyat 'faanii'
zindagii naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
Fani Badayuni
Sher
ajiib shaKHs hai naaraaz ho ke ha.nstaa hai
mai.n chaahtaa huu.n KHafaa ho to vo KHafaa hii lage
Bashir Badr
Sher
use gumaa.n hai ki merii u.Daan kuchh kam hai
mujhe yaqii.n hai ki ye aasmaan kuchh kam hai
Nafas Ambalvi
Sher
kaam hai meraa taGayyur naam hai meraa shabaab
meraa na.ara inqilaab o inqilaab o inqilaab
Josh Malihabadi
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Tahir Adeem
Sher
Nafas Ambalvi
Sher
maa.n mujhe dekh ke naaraaz na ho jaa.e kahii.n
sar pe aa.nchal nahii.n hotaa hai to Dar hotaa hai
Anjum Rehbar
Sher
itnaa naaraaz ho kyuu.n us ne jo patthar phe.nkaa
us ke haatho.n se kabhii phuul bhii aayaa hogaa
Saghar Azmi
Sher
Talib Baghpati
Sher
kyaa jaane kis jahaa.n me.n milegaa hame.n sukuun
naaraaz hai.n zamii.n se KHafaa aasmaa.n se ham
Rajesh Reddy
Sher
vo harf-e-raaz ki mujh ko sikhaa gayaa hai junuu.n
KHudaa mujhe nafas-e-jabra.iil de to kahuu.n
Allama Iqbal
Sher
fanaa hii kaa hai baqaa naam duusraa 'anjum'
nafas kii aamad-o-shud maut kaa taraana hai