SEARCH RESULTS
Showing search results for "naazim"
Sher MATCHES FOR "naazim"
Sher
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirii yaad me.n bedaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
us bazm me.n jo kuchh nazar aayaa nazar aayaa
ab kaun bataa.e ki hame.n kyaa nazar aayaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
hai eid mai-kade ko chalo dekhtaa hai kaun
shahd o shakar pe TuuT pa.De roza-daar aaj
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
ai hijr vaqt Tal nahii.n saktaa hai maut kaa
lekin ye dekhnaa hai ki miTTii kahaa.n kii hai
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
shaa.erii to vaardaat-e-qalb kii ruudaad hai
qaafiya-paimaa.ii ko mai.n shaa.erii kaise kahuu.n
Nazim Barelvi
Sher
kabhii ye fikr ki vo yaad kyuu.n kare.nge hame.n
kabhii KHayaal ki KHat kaa javaab aa.egaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
haa.n haa.n tumhaare husn kii ko.ii KHataa nahii.n
mai.n husn-e-ittifaaq se diivaana ho gayaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
vahii ma.abuud hai 'naazim' jo hai mahbuub apnaa
kaam kuchh ham ko na masjid se na but-KHaane se
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
shab-e-firaaq kuchh aisaa KHayaal-e-yaar rahaa
ki raat bhar dil-e-Gam-diida be-qaraar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
apnii sanjiida tabii.at pe to akasr 'naazim'
fikr ke shoKH ujaale bhii giraa.n hote hai.n
Nazim Sultanpuri
Sher
kahegii hashr ke din us kii rahmat-e-be-had
ki be-gunaah se achchhaa gunaah-gaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
apne andaaz-e-takallum ko badal de varna
meraa lahja bhii tire saath badal saktaa hai
Nazim Barelvi
Sher
siirat kisii kii KHuub hai suurat kisii kii KHuub
ko.ii hamaare dil me.n hai ko.ii nazar me.n hai
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
aa gayaa dhyaan me.n mazmuu.n tirii yaktaa.ii kaa
aaj matl.a hu.aa misra.a mirii tanhaa.ii kaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
aayaa bhii ko.ii dil me.n gayaa bhii ko.ii dil se
aanaa nazar aayaa na ye jaanaa nazar aayaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
jab tiraa naam sunaa to nazar aayaa goyaa
kis se kahiye ki tujhe kaan se ham dekhte hai.n