SEARCH RESULTS
Showing search results for "nabol'"
Sher MATCHES FOR "nabol'"
Sher
phir na.e saal kii sarhad pe kha.De hai.n ham log
raakh ho jaa.egaa ye saal bhii hairat kaisii
Aziz Nabeel
Sher
saare sapne baa.ndh rakhe hai.n gaThrii me.n
ye gaThrii bhii auro.n me.n baT jaa.egii
Aziz Nabeel
Sher
vo ek raaz! jo muddat se raaz thaa hii nahii.n
us ek raaz se parda uThaa diyaa gayaa hai
Aziz Nabeel
Sher
kisii se zehn jo miltaa to guftuguu karte
hujuum-e-shahr me.n tanhaa the ham, bhaTak rahe the
Aziz Nabeel
Sher
musaafiro.n se kaho apnii pyaas baa.ndh rakhe.n
safar kii ruuh me.n sahraa ko.ii utar chukaa hai
Aziz Nabeel
Sher
'nabiil' aisaa karo tum bhii bhuul jaa.o use
vo shaKHs apnii har ik baat se mukar chukaa hai
Aziz Nabeel
Sher
ham qaafile se bichh.De hu.e hai.n magar 'nabiil'
ik raasta alag se nikaale hu.e to hai.n
Aziz Nabeel
Sher
guzar rahaa huu.n kisii KHvaab ke ilaaqe se
zamii.n sameTe hu.e aasmaa.n uThaa.e hu.e
Aziz Nabeel
Sher
tamaam shahr ko taariikiyo.n se shikva hai
magar charaaG kii bai.at se KHauf aataa hai
Aziz Nabeel
Sher
chaa.nd taare ik diyaa aur raat kaa komal badan
sub.h-dam bikhre pa.De the chaar suu merii tarah
Aziz Nabeel
Sher
Aziz Nabeel
Sher
Aziz Nabeel
Sher
na jaane kaisii mahruumii pas-e-raftaar chaltii hai
hamesha mere aage aage ik diivaar chaltii hai
Aziz Nabeel
Sher
saa.ns letaa hu.aa har rang nazar aa.egaa
tum kisii roz mire rang me.n aa.o to sahii
Aziz Nabeel
Sher
roz dastak sii ko.ii detaa hai siine me.n 'nabiil'
roz mujh me.n kisii aavaaz ke par khulte hai.n