SEARCH RESULTS
Showing search results for "nafas"
Sher MATCHES FOR "nafas"
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
har nafas umr-e-guzishta kii hai mayyat 'faanii'
zindagii naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
Fani Badayuni
Sher
fanaa hii kaa hai baqaa naam duusraa 'anjum'
nafas kii aamad-o-shud maut kaa taraana hai
Mahaveer Parshad Anjum
Sher
har gha.Dii teraa tasavvur har nafas teraa KHayaal
is tarah to aur bhii terii kamii ba.Dh jaa.egii
Bharat Bhushan Pant
Sher
nafas nafas pe yahaa.n rahmato.n kii baarish hai
hai bad-nasiib jise zindagii na raas aa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
ai ham-nafas na puuchh javaanii kaa maajraa
mauj-e-nasiim thii idhar aa.ii udhar ga.ii
Tilok Chand Mahroom
Sher
aisaa safar hai jis kii ko.ii intihaa nahii.n
aisaa makaa.n hai jis me.n ko.ii ham-nafas nahii.n
Muneer Niyazi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
hujuum-e-gul me.n rahe ham hazaar dast daraaz
sabaa-nafas the kisii par giraa.n nahii.n guzre
Sirajuddin Zafar
Sher
fursat me.n ik nafas ke kyaa dard-e-dil sunoge
aa.e to tum va-lekin vaqt-e-aKHiir aa.e
Meer Taqi Meer
Sher
Mustafa Zaidi
Sher
tan ko miTTii nafas ko havaa le ga.ii
maut ko kyaa milaa maut kyaa le ga.ii
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
Jaun Eliya
Sher
duniyaa jo na mai.n chand nafas ke liye letaa
jannat kaa ilaaqa mirii jaagiir me.n aataa
Agha Hajju Sharaf
Sher
Abdul Mateen Niyaz
Sher
kuchh apne saaz-e-nafas kii na qadr kii tuu ne
ki is rabaab se behtar ko.ii rabaab na thaa