SEARCH RESULTS
Showing search results for "nafii-e-isbaat"
Sher MATCHES FOR "nafii-e-isbaat"
Sher
nafii o isbaat kaa ha.ngaama rahaa us kuu mai.n
ko.ii maaraa gayaa aur ko.ii sar-afraaz hu.aa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
haadso.n ke KHauf se ehsaas kii had me.n na thaa
varna nafs-e-mutma.in saffaak hotaa Gaaliban
Rahi Fidai
Sher
nafs-e-matlab hii miraa faut hu.aa jaataa hai
jaan-e-jaanaa.n ye munaasib nahii.n ghabraa denaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
KHayaal-e-naaf-e-butaa.n se ho kyuu.n ki dil jaa.n-bar
nikalte ko.ii bha.nvar se na Duubtaa dekhaa
Shah Naseer
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
ai dil tamaam naf.a hai saudaa-e-ishq me.n
ik jaan kaa ziyaa.n hai so aisaa ziyaa.n nahii.n
Mufti Sadruddin Aazurda
Sher
yahii bahut the mujhe naan o aab o sham.a o gul
safar-nazhaad thaa asbaab muKHtasar rakkhaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
tere KHayaal-e-naaf se chakkar me.n kiyaa hai dil
girdaab se nikal ke shanaavar nahii.n phiraa
Shah Naseer
Sher
Munawwar Rana
Sher
haath rahte hai.n ka.ii din se garebaa.n ke qariib
bhuul jaa KHud ko ki hai ma.arifat-e-nafs yahii
Natiq Gulavthi
Sher
Hatim Ali Mehr
Sher
'qaa.em' hayaat-o-marg-e-buz-o-gaav me.n hai.n naf.a
is mardumii ke shor pe kis kaam kaa huu.n mai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
aashiqo.n ko naf.a kab hai inqilaab-e-dahr se
ham vahii bande rahe.nge but KHudaa ho jaa.e.nge
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
mirii samajh me.n na aayaa ye kaarobaar-e-hayaat
kahaa.n hai nafaa kahaa.n hai zarar nahii.n ma.aluum
Lais Quraishi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
kyaa kyaa badan-e-saaf nazar aate hai.n ham ko
kyaa kyaa shikam o naaf nazar aate hai.n ham ko
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
kabhii to mimbar-o-mehraab tak bhii aa.egaa
ye qahr qahr ke asbaab tak bhii aa.egaa
Saeedullah Qureshi
Sher
terii ismat me.n hame.n shak nahii.n ai maaya-e-naaz
par kare.n kyaa jo na samjhe dil-e-bad-zan apnaa