SEARCH RESULTS
Showing search results for "najd"
Sher MATCHES FOR "najd"
Sher
ham bhii diivaane hai.n vahshat me.n nikal jaa.e.nge
najd ik dasht hai kuchh qais kii jaagiir nahii.n
Mubarak Azimabadi
Sher
najd se jaanib-e-lailaa jo havaa aatii hai
dil-e-majnuu.n ke dha.Dakne kii sadaa aatii hai
Taashshuq Lakhnavi
Sher
ghar me.n pahu.nchaa thaa ki aa.ii najd se aavaaz-e-qais
paa.nv meraa ek andar ek baahar rah gayaa
Riyaz Khairabadi
Sher
lailaa chalii thii haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd kii manzil me.n rah gayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
us ne kii pahle-pahal paimaa.ish-e-sahraa-e-najd
qais hai dar-asl ik mash.huur panvaa.Dii kaa naam
Syed Zameer Jafri
Sher
daad-o-tahsiin kii bolii nahii.n tafhiim kaa naqd
shart kuchh to mire bikne kii munaasib Thahre
Abdul Ahad Saaz
Sher
na sair-e-baaG na milnaa na miiThii baate.n hai.n
ye din bahaar ke ai jaan muft jaate hai.n
Naji Shakir
Sher
apne gharo.n ke kar diye aa.ngan lahuu lahuu
har shaKHs mere shahr kaa qaabiil ho gayaa
Hira Nand Soz
Sher
ga.e the naqd-e-giraa.n-maaya-e-KHuluus ke saath
KHariid laa.e hai.n sastii adaavate.n kyaa kyaa
Saba Akbarabadi
Sher
ajiib haal thaa ahd-e-shabaab me.n dil kaa
mujhe gunaah bhii kaar-e-savaab lagtaa thaa
Hira Nand Soz
Sher
ham jaante hai.n lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd me.n kahaa.n jo mazaa hai udhaar me.n
Riyaz Khairabadi
Sher
ishq KHud sikhaataa hai saarii hikmate.n 'aalii'
naqd-e-dil kise denaa baar-e-sar kahaa.n rakhnaa
Jaleel 'Aali'
Sher
go ham sharaab piite hamesha hai.n de ke naqd
lekin mazaa kuchh aur hii paayaa udhaar me.n
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
ab mai.n huu.n mirii jaagtii raate.n hai.n KHudaa hai
yaa TuuTte patto.n ke bikharne kii sadaa hai