SEARCH RESULTS
Showing search results for "namuune"
Sher MATCHES FOR "namuune"
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohde the
bahut talaash kiyaa ko.ii aadmii na milaa
Bashir Badr
Sher
jab mai.n kahtaa huu.n ki yaa allaah meraa haal dekh
hukm hotaa hai ki apnaa naama-e-aamaal dekh
Akbar Allahabadi
Sher
ba-naam-e-ishq ik ehsaan saa abhii tak hai
vo saada-lauh hame.n chaahtaa abhii tak hai
Shahram Sarmadi
Sher
hotii nahii.n hai yuu.nhii adaa ye namaaz-e-ishq
yaa.n shart hai ki apne lahuu se vazuu karo
Khalilur Rahman Azmi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ho ga.e naam-e-butaa.n sunte hii 'momin' be-qaraar
ham na kahte the ki hazrat paarsaa kahne ko hai.n
Momin Khan Momin
Sher
daavar-e-hashr miraa naama-e-a.amaal na dekh
is me.n kuchh parda-nashiino.n ke bhii naam aate hai.n
Mohammad Deen Taseer
Sher
namaaz-e-ishq tumhaarii qubuul ho jaatii
agar sharaab se tum ai 'ratan' vazuu karte
Ratan Pandorwi
Sher
numuud-e-sub.h se shab kii vo tiirgii to ga.ii
ye aur baat ki suuraj me.n raushnii kam hai
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
Shaad Aarfi
Sher
na-jaane kaun sii majbuuriyaa.n hai.n jin ke liye
KHud apnii zaat se inkaar karnaa pa.Dtaa hai
Athar Nasik
Sher
ham ruuh-e-safar hai.n hame.n naamo.n se na pahchaan
kal aur kisii naam se aa jaa.e.nge ham log
Razi Akhtar Shauq
Sher
har ek ahd ne likkhaa hai apnaa naama-e-shauq
kisii ne KHuu.n se likhaa hai kisii ne aa.nsuu se
Khurshid Talab
Sher
tuu jis ke KHvaab me.n aayaa ho vaqt-e-sub.h sanam
namaaz-e-sub.h ko kis tarah vo qazaa na kare