SEARCH RESULTS
Showing search results for "naqsh-e-baqaa"
Sher MATCHES FOR "naqsh-e-baqaa"
Sher
ai ishq tuu har-chand miraa dushman-e-jaa.n ho
marne kaa nahii.n naam kaa mai.n apne 'baqaa' huu.n
Baqaullah 'Baqa'
Sher
Baqaullah 'Baqa'
Sher
kaun samjhe ham pe kyaa guzrii hai 'naqsh'
dil laraz uThtaa hai zikr-e-shaam se
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
ai 'naqsh' kar rahaa thaa jinhe.n Garq naaKHudaa
tuufaa.n ke zor se vo safiine ubhar ga.e
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
mar chukaa mai.n to nahii.n is se mujhe kuchh haasil
barse gir paanii kii jaa aab-e-baqaa mere ba.ad
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
miraa vajuud haqiiqat miraa adam dhokaa
fanaa kii shakl me.n sar-chashma-e-baqaa huu.n mai.n
Hadi Machlishahri
Sher
sar-chashma-e-baqaa se hargiz na aab laa.o
hazrat KHizar kahii.n se jaa kar sharaab laa.o
Nazeer Akbarabadi
Sher
naqsh-o-nigaar-e-husn-e-haqiiqii bhii shai hai kyaa
palke.n tirii lagaa le.n agar muu-qalam me.n ham
Miraash
Sher
kyaa diid ke qaabil tire kuuche kii zamii.n hai
har gaam hai naqsh-e-qadam-e-rah-guazrii aa.nkh
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
ye misra.a kaash naqsh-e-har-dar-o-diivaar ho jaa.e
jise jiinaa ho marne ke liye tayyaar ho jaa.e
Jigar Moradabadi
Sher
zindagii mai.n bhii chaluu.ngaa tire piichhe piichhe
tuu mire dost kaa naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa
Qateel Shifai
Sher
aa.ndhii chalii to naqsh-e-kaf-e-paa nahii.n milaa
dil jis se mil gayaa vo dobaaraa nahii.n milaa
Mustafa Zaidi
Sher
manzile.n ishq kii aasaa.n hu.ii.n chalte chalte
aur chamkaa tiraa naqsh-e-kaf-e-paa aaKHir-e-shab
Makhdoom Mohiuddin
Sher
jab tak kisii kaa naqsh-e-kaf-e-paa hame.n milaa
ham se kuchh aur duur zamaana nikal gayaa
Azizunnisa Naz
Sher
Haji Laq Laq
Sher
Akhtar Saeed Khan
Sher
naqsh-e-paa-e-raftagaa.n se aa rahii hai ye sadaa
do qadam me.n raah tai hai shauq-e-manzil chaahiye
Unknown
Sher
yaa dil hai miraa yaa tiraa naqsh-e-kaf-e-paa hai
gul hai ki ik aa.iina sar-e-raah pa.Daa hai