SEARCH RESULTS
Showing search results for "nargis-o-nasriin-o-suman"
Sher MATCHES FOR "nargis-o-nasriin-o-suman"
Sher
Iqbal Sohail
Sher
chhalak ke kam na ho aisii ko.ii sharaab nahii.n
nigaah-e-nargis-e-ra.anaa tiraa javaab nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
dekhiye dekhiye hai banda-e-be-daam 'suhail'
nigah-e-nargis-e-maKHmuur hai qiimat merii
Sohail Azeemabadi
Sher
sub.h-dam mujh se lipaT kar vo nashe me.n bole
tum bane baad-e-sabaa ham gul-e-nasriin hu.e
Insha Allah Khan Insha
Sher
aa.nkhe.n mirii phuuTe.n tirii aa.nkho.n ke baGair aah
gar mai.n ne kabhii nargis-e-biimaar ko dekhaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
tasviir-e-chashm-e-yaar kaa KHvaahaa.n hai baaGbaa.n
iijaad hogii nargis-e-biimaar kii jagah
Sakhi Lakhnvi
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
nasrii.n me.n ye mahak hai na ye nastaran me.n hai
buu-e-gul-e-muraad tire pairahan me.n hai
Aziz Hyderabadi
Sher
chashm-e-nargis ko havas hai ki chaman me.n dekhe
aatish-e-gul ke bha.Dakne kaa samaa.n kyaa hogaa
Hanif Fauq
Sher
kyaa tumhe.n ahd-e-mohabbat ke vo lamhe yaad hai.n
jab nigaahe.n boltii thii.n aur ham KHaamosh the
Ummaturrauf Nasreen
Sher
tumhaarii yaad ba.Dii KHush-gavaar thii lekin
dil-e-hazii.n ke liye talKHiyaa.n ba.Dhaa bhii ga.ii
Ummaturrauf Nasreen
Sher
vo multafit the ham hii bayaa.n kar sake na haal
manzil ke paas aa ke qadam Dagmagaa ga.e
Ummaturrauf Nasreen
Sher
Sikandar Ali Wajd
Sher
jaam-e-aqiiq zard hai nargis ke haath me.n
taqsiim kar rahaa hai mai-e-arGavaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
qad sarv chashm nargis ruKH gul dahaan Guncha
kartaa huu.n dekh tum kuu.n sair-e-chaman mamolaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
us kii aa.nkho.n ke agar vasf raqam kiijiyegaa
shaaKH-e-nargis ko qalam kar ke qalam kiijiyegaa
Ishq Aurangabadi
Sher
kuchh roz nasiir aa.o chalo ghar me.n rahaa jaa.e
logo.n ko ye shikva hai ki ghar par nahii.n miltaa