SEARCH RESULTS
Showing search results for "nas-kaTe"
Sher MATCHES FOR "nas-kaTe"
Sher
haal puuchhaa na kare haath milaayaa na kare
mai.n isii dhuup me.n KHush huu.n ko.ii saaya na kare
Kashif Husain Ghair
Sher
vo saadgii se taGaaful ko naaz kahte hai.n
magar sikhaatii hai shoKHii ki imtihaa.n kahiye
Joseph Desilva
Sher
vo mere naam kare apnii KHushbu.e.n irsaal
mai.n us ke naam karuu.n apnii shaa.irii sochuu.n
Farhan Hanif Warsi
Sher
ham jaante to ishq na karte kisuu ke saath
le jaate dil ko KHaak me.n is aarzuu ke saath
Meer Taqi Meer
Sher
Fayyaz Hashmi
Sher
ko.ii is baat ko tasliim kare yaa na kare
sub.h kii sair ne mujh ko dil biimaar diyaa
Zafar Iqbal
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
KHudaa kisii ko giraftaar zulf kaa na kare
nasiib me.n kisii kaafir ke ye balaa na kare
Santokh Rai Betab
Sher
but-KHaane kii ulfat hai na ka.abe kii mohabbat
juyaa.ii-e-naira.ng hai jab tak ki nazar hai
Qalaq Merathi
Sher
ham na kahte the ki saudaa zulf kaa achchhaa nahii.n
dekhiye to ab sar-e-baazaar rusvaa kaun hai
Aagha Akbarabadi
Sher
yuusuf us ko kaho aur kuchh na kahe KHair hu.ii
gar biga.D baiThe to mai.n laa.iq-e-taaziir bhii thaa
Mirza Ghalib
Sher
KHudaa se Darte to KHauf-e-KHudaa na karte ham
ki yaad-e-but se haram me.n bukaa na karte ham