SEARCH RESULTS
Showing search results for "nation"
Sher MATCHES FOR "nation"
Sher
janaab ke ruKH-e-raushan kii diid ho jaatii
to ham siyaah-nasiibo.n kii iid ho jaatii
Anwar Shuoor
Sher
jiit le jaa.e ko.ii mujh ko nasiibo.n vaalaa
zindagii ne mujhe daa.nv pe lagaa rakkhaa hai
Qateel Shifai
Sher
guftuguu der se jaarii hai natiije ke baGair
ik na.ii baat nikal aatii hai har baat ke saath
Aitbar Sajid
Sher
ik ajab aamad-o-shud hai ki na maazii hai na haal
'jaun' barpaa ka.ii naslo.n kaa safar hai mujh me.n
Jaun Eliya
Sher
Munawwar Rana
Sher
vo zamaanaa bhii tumhe.n yaad hai tum kahte the
dost duniyaa me.n nahi.n 'daaG' se behtar apnaa
Dagh Dehlvi
Sher
Adeem Hashmi
Sher
bandish-e-alfaaz ja.Dne se nago.n ke kam nahii.n
shaa.irii bhii kaam hai 'aatish' murassa-saaz kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
dil ke mu.aamale me.n natiije kii fikr kyaa
aage hai ishq jurm-o-sazaa ke maqaam se
Sahir Ludhianvi
Sher
tum jo parde me.n sa.nvarte ho natiija kyaa hai
lutf jab thaa ki ko.ii dekhne vaalaa hotaa
Jaleel Manikpuri
Sher
Alok Yadav
Sher
ham fanaa-nasiibo.n ko aur kuchh nahii.n aataa
KHuu.n sharaab kar lenaa jism jaam kar lenaa
Anjum Irfani
Sher
mere daaman me.n agar kuchh na rahegaa baaqii
aglii naslo.n ko du.aa de ke chalaa jaa.uu.ngaa