SEARCH RESULTS
Showing search results for "navaaz"
Sher MATCHES FOR "navaaz"
Sher
nigah buland suKHan dil-navaaz jaa.n pur-soz
yahii hai raKHt-e-safar miir-e-kaarvaa.n ke liye
Allama Iqbal
Sher
baap ziina hai jo le jaataa hai uu.nchaa.ii tak
maa.n du.aa hai jo sadaa saaya-figan rahtii hai
Sarfraz Nawaz
Sher
aaj phir maa.n mujhe maaregii bahut rone par
aaj phir gaa.nv me.n aayaa hai khilaune vaalaa
Nawaz Zafar
Sher
vo dil-navaaz hai lekin nazar-shanaas nahii.n
miraa ilaaj mire chaara-gar ke paas nahii.n
Nasir Kazmi
Sher
nazar-navaaz nazaara badal na jaa.e kahii.n
zaraa sii baat hai mu.nh se nikal na jaa.e kahii.n
Dushyant Kumar
Sher
de nishaanii ko.ii aisii ki sadaa yaad rahe
zaKHm kii baat hai kyaa zaKHm to bhar jaa.e.nge
Bashar Nawaz
Sher
Bashir Badr
Sher
Bashar Nawaz
Sher
safar hai shart musaafir-navaaz bahutere
hazaar-haa shajar-e-saaya-daar raah me.n hai
Haidar Ali Aatish
Sher
is ga.e saal ba.De zulm hu.e hai.n mujh par
ai na.e saal masiihaa kii tarah mil mujh se
Sarfraz Nawaz
Sher
Bashar Nawaz
Sher
be-sadaa sii kisii aavaaz ke piichhe piichhe
chalte chalte mai.n bahut duur nikal jaataa huu.n
Sarfraz Nawaz
Sher
shabaab naam hai us jaa.n-navaaz lamhe kaa
jab aadmii ko ye mahsuus ho javaa.n huu.n mai.n