SEARCH RESULTS
Showing search results for "navele"
Sher MATCHES FOR "navele"
Sher
aate hai.n Gaib se ye mazaamii.n KHayaal me.n
'Gaalib' sariir-e-KHaama navaa-e-sarosh hai
Mirza Ghalib
Sher
jurm aadam ne kiyaa aur nasl-e-aadam ko sazaa
kaaTtaa huu.n zindagii bhar mai.n ne jo boyaa nahii.n
Muneer Niyazi
Sher
judaa hu.e to judaa.ii me.n ye kamaal bhii thaa
ki us se raabta TuuTaa bhii thaa bahaal bhii thaa
Naved Raza
Sher
maut bar-haq hai to phir maut se Darnaa kaisaa
ek hijrat hii to hai naql-e-makaanii hii to hai
Tariq Matin
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
meraa vajuud jazb hu.aa tere jism me.n
ab mujh ko apne jism ke andar talaash kar
Aliuddeen Naved
Sher
aa.nkho.n tak aa sakii na kabhii aa.nsu.o.n kii lahr
ye qaafila bhii naql-e-makaanii me.n kho gayaa
Abbas Tabish
Sher
naavak-e-naaz se mushkil hai bachaanaa dil kaa
dard uTh uTh ke bataataa hai Thikaanaa dil kaa
Ameer Minai
Sher
umr bhar jis ke liye peT se baa.ndhe patthar
ab vo gin gin ke khilaataa hai nivaale mujh ko
Saleem Siddiqui
Sher
Afzaal Naveed
Sher
Unknown
Sher
ai 'zauq' vaqt naale ke rakh le jigar pe haath
varna jigar ko ro.egaa tuu dhar ke sar pe haath
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
kuchh is tarah se kahaa mujh se baiThne ke liye
ki jaise bazm se us ne uThaa diyaa hai mujhe
Meer Ahmad Naved
Sher
ta.Dap rahaa hai dil ik naavak-e-jafaa ke liye
usii nigaah se phir dekhiye KHudaa ke liye
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
tirii judaa.ii kaa mausam bhii KHuub-suurat hai
mujhe nikaal rahaa hai KHumaar se baahar
Mohammad Naved Mirza
Sher
aa.nsuu mirii aa.nkho.n me.n hai.n naale mire lab par
saudaa mire sar me.n hai tamannaa mire dil me.n