SEARCH RESULTS
Showing search results for "nazar-andaaz"
Sher MATCHES FOR "nazar-andaaz"
Sher
nazar-andaaz karnaa to bahut aasaan hai lekin
nazar-andaaz hone se bahut takliif hotii hai
Nazia Nazi
Sher
husn ko husn banaane me.n miraa haath bhii hai
aap mujh ko nazar-andaaz nahii.n kar sakte
Rais Farogh
Sher
kaun ab kashmakash-e-ziist se de mujh ko najaat
kar chukaa hai miraa qaatil nazar-andaaz mujhe
Abr Ahsani Ganauri
Sher
raah aasaa.n dekh kar sab KHush the phir mai.n ne kahaa
soch liije ek andaaz-e-nazar meraa bhii hai
Rajinder Manchanda Bani
Sher
ghar me.n bhii nazar aa.e.nge andaaz-e-bayaabaa.n
jab tak mirii vahshat kaa asar KHatm na ho jaa.e
Bismil Aghai
Sher
suntaa huu.n ki KHirman se hai bijlii ko bahut laag
haa.n ek nigaah-e-Galat-andaaz idhar bhii
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
chaa.nd niklaa hai ba-andaaz-e-digar aaj kii shaam
baarish-e-nuur hai taa-hadd-e-nazar aaj kii shaam
Arman Akbarabadi
Sher
Izhar Asar
Sher
log auro.n ke garebaa.n pe nazar karte hai.n
ham yahii kaam ba-andaaz-e-digar karte hai.n
Moid Rahbar Lakhnavi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Galat hai aap kaa andaaza-e-nazar 'qasrii'
buraa zaruur huu.n par is qadar buraa bhii nahii.n
Qasri Kanpuri
Sher
andar ke haadso.n pe kisii kii nazar nahii.n
ham mar chuke hai.n aur hame.n is kii KHabar nahii.n
Farhat Ehsas
Sher
Najma Tasadduq
Sher
mumkin hai ki sadiyo.n bhii nazar aa.e na suuraj
is baar a.ndheraa mire andar se uThaa hai