SEARCH RESULTS
Showing search results for "nazmo.n"
Sher MATCHES FOR "nazmo.n"
Sher
Mahmood Shaam
Sher
takallufaat kii nazmo.n kaa silsila hai sivaa
ta.alluqaat ab afsaane honaa chaahte hai.n
Asad Badayuni
Sher
Iftikhar Haidar
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
shaam tak sub.h kii nazro.n se utar jaate hai.n
itne samjhauto.n pe jiite hai.n ki mar jaate hai.n
Waseem Barelvi
Sher
vo zahr detaa to sab kii nigah me.n aa jaataa
so ye kiyaa ki mujhe vaqt pe davaa.e.n na dii.n
Akhtar Nazmi
Sher
gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohde the
bahut talaash kiyaa ko.ii aadmii na milaa
Bashir Badr
Sher
jis taraf tuu hai udhar ho.ngii sabhii kii nazre.n
iid ke chaa.nd kaa diidaar bahaana hii sahii
Amjad Islam Amjad
Sher
aa.nkhe.n jo uThaa.e to mohabbat kaa gumaa.n ho
nazro.n ko jhukaa.e to shikaayat sii lage hai
Jan Nisar Akhtar
Sher
faasla nazro.n kaa dhoka bhii to ho saktaa hai
vo mile yaa na mile haath ba.Dhaa kar dekho
Nida Fazli
Sher
zabaa.n KHaamosh magar nazro.n me.n ujaalaa dekhaa
us kaa iz.haar-e-mohabbat bhii niraalaa dekhaa
Tauqeer Ahmad
Sher
dhokaa thaa nigaaho.n kaa magar KHuub thaa dhokaa
mujh ko tirii nazro.n me.n mohabbat nazar aa.ii
Shaukat Thanvi
Sher
mai pii ke jo girtaa hai to lete hai.n use thaam
nazro.n se giraa jo use phir kis ne sambhaalaa