SEARCH RESULTS
Showing search results for "nek-naam"
Sher MATCHES FOR "nek-naam"
Sher
hamaare aage tiraa jab kisuu ne naam liyaa
dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liyaa
Meer Taqi Meer
Sher
rakh diyaa KHalq ne naam us kaa qayaamat ai 'zeb'
ko.ii fitna jo zamaane se uThaayaa na gayaa
Zeb Usmania
Sher
sar-bulandii ko yahaa.n dil ne na chaahaa mun.im
varna ye KHema-e-aflaak puraanaa kyaa thaa
Shah Naseer
Sher
mansuur ne na zulf ke kuuche kii raah lii
naahaq pha.nsaa vo qissa-e-daar-o-rasan ke biich
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
eid ab ke bhii ga.ii yuu.nhii kisii ne na kahaa
ki tire yaar ko ham tujh se milaa dete hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sach to ye hai ki du.aa ne na davaa ne rakkhaa
ham ko zinda tire daaman kii havaa ne rakkhaa
Khar Dehlavi
Sher
'taskii.n' ne naam le ke tiraa vaqt-e-marg aah
kyaa jaane kyaa kahaa thaa kisii ne sunaa nahii.n
Taskeen Dehlavi
Sher
jis nuur ke bakke ko mah-o-KHur ne na dekhaa
kam-baKHt ye dil loTe hai us parda-nashii.n par
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
qadr kuchh bhii mire dil kii but-e-kaafir ne na kii
zulf-e-pechaa.n se jo uljhaa to mire sar maaraa
Muztar Khairabadi
Sher
mat halaak itnaa karo mujh ko malaamat kar kar
nek-naamo tumhe.n kyaa mujh se hai bad-naam se kaam
Hasrat Azimabadi
Sher
jaane kaa naam hii nahii.n letaa vo nek-baKHt
''muddat hu.ii hai yaar ko mehmaa.n kiye hu.e''
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
tamaam umr isii ranj me.n tamaam hu.ii
kabhii ye tum ne na puuchaa tirii KHushii kyaa hai
Ahsan Marahravi
Sher
uljhaa hai magar zulf me.n taqriir kaa lachhaa
suljhii hu.ii ham ne na sunii baat tumhaarii
Muneer Shikohabadi
Sher
kiyaa tum ne qatl-e-jahaa.n ik nazar me.n
kisii ne na dekhaa tamaashaa kisii kaa