SEARCH RESULTS
Showing search results for "nigaaho.n"
Sher MATCHES FOR "nigaaho.n"
Sher
dhokaa thaa nigaaho.n kaa magar KHuub thaa dhokaa
mujh ko tirii nazro.n me.n mohabbat nazar aa.ii
Shaukat Thanvi
Sher
tum aa ga.e ho to ab aa.iina bhii dekhe.nge
abhii abhii to nigaaho.n me.n raushnii hu.ii hai
Irfan Sattar
Sher
dekhaa kiye vo mast nigaaho.n se baar baar
jab tak sharaab aa.ii ka.ii daur ho ga.e
Shad Azimabadi
Sher
hazaar kos nigaaho.n se dil kii manzil tak
ko.ii qariib se dekhe to ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
asr-e-nau mujh ko nigaaho.n mai.n chhupaa kar rakh le
ek miTtii hu.ii tahziib kaa sarmaaya huu.n
Mazhar Imam
Sher
ulajh ke rah ga.e chehre mirii nigaaho.n me.n
kuchh itnii tezii se badle the un kii baat ke ra.ng
Fatima Hasan
Sher
be-KHud bhii hai.n hoshiyaar bhii hai.n dekhne vaale
in mast nigaaho.n kii adaa aur hii kuchh hai
Abul Kalam Azad
Sher
Gair se duur magar us kii nigaaho.n ke qarii.n
mahfil-e-yaar me.n is Dhab se alag baiThaa huu.n
Peer Nasiruddin Shah Naseer
Sher
kaun kahtaa hai mohabbat kii zabaa.n hotii hai
ye haqiiqat to nigaaho.n se bayaa.n hotii hai
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
Tabish Kanpuri
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
hazaar baar nigaaho.n se chuum kar dekhaa
labo.n pe us ke vo pahlii sii ab miThaas nahii.n
Aslam Aazad
Sher
ham ne bhii nigaaho.n se unhe.n chhuu hii liyaa hai
aa.iine kaa ruKH jab vo idhar karte rahe hai.n
Nushur Wahidi
Sher
pyaas dariyaa kii nigaaho.n se chhupaa rakkhii hai
ek baadal se ba.Dii aas lagaa rakkhii hai
Iqbal Ashhar
Sher
haal kah dete hai.n naazuk se ishaare akasr
kitnii KHaamosh nigaaho.n kii zabaa.n hotii hai
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
jab nigaaho.n ke ishaaraat badal jaate hai.n
KHud-ba-KHud pyaar ke jazbaat badal jaate hai.n
Shevan Bijnauri
Sher
Zafar Kamali
Sher
hai tere liye saaraa jahaa.n husn se KHaalii
KHud husn agar terii nigaaho.n me.n nahii.n hai