SEARCH RESULTS
Showing search results for "nigaar-khaana"
Sher MATCHES FOR "nigaar-khaana"
Sher
nigaar-KHaana-e-hikmat kaliid-e-baab-e-junuu.n
amiin-e-sub.h-e-masarrat ra.iis-e-shaam-e-alam
Izhaar Malihabadi
Sher
usii ne mujh pe uThaa.e hai.n sang jis ke liye
mai.n paash paash hu.aa ghar nigaar-KHaana hu.aa
Naseer Turabi
Sher
Mohammad Ahmad Ramz
Sher
vus.at tilism-KHaana-e-aalam kii kyaa kahuu.n
thak thak ga.ii nigaah tamaashe na kam hu.e
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
dilo.n kaa farsh bichhaa hai jidhar nigaah karo
tumhaaraa ghar bhii dilo.n kaa kabaa.D-KHaana hai
Syed Zameer Jafri
Sher
dil kyaa nigaah-e-mast se mai-KHaana ban gayaa
mazmuun-e-aashiqaana bhii rindaana ban gayaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
KHaraab rahte the masjid ke aage mai-KHaane
nigaah-e-mast ne saaqii kii intiqaam liyaa
Meer Taqi Meer
Sher
nigaah-e-mast ne us kii luTaa.ii KHaanqa saarii
pa.Daa hai barham ab tak kaarKHaana zohd-o-taa.at kaa
Meer Taqi Meer
Sher
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
nigaah-e-lutf ko ulfat-shi.aar samjhe the
zaraa se KHanda-e-gul ko bahaar samajhte the
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
Dartaa huu.n aasmaan se bijlii na gir pa.De
sayyaad kii nigaah suu-e-aashiyaa.n nahii.n
Momin Khan Momin
Sher
ghabraa ga.ii huu.n yaar hujuum-e-butaa.n se mai.n
ab aahuu-e-nigaah ko sahraa-e-huu dikhaa
Zeba Khan Hina
Sher
ma.ashuuq se bhii ham ne nibhaa.ii baraabarii
vaa.n lutf kam hu.aa to yahaa.n pyaar kam hu.aa
Momin Khan Momin
Sher
dihaat ke vajuud ko qasba nigal gayaa
qasbe kaa jism shahr kii buniyaad khaa ga.ii
Tanveer Sipra
Sher
ik zaraa teG-e-nigah ko jo ishaaraa ho jaa.e
aap kaa naam ho aur kaam hamaaraa ho jaa.e
Mehdi Ali Khan Zaki Lakhnavi
Sher
dekho duzdiida nigah se to nikal kar ik raat
chor saa kaun kha.Daa hai pas-e-diivaar lagaa