SEARCH RESULTS
Showing search results for "nigah-e-chashm-e-surma"
Sher MATCHES FOR "nigah-e-chashm-e-surma"
Sher
sailaab-e-chashm-e-tar se zamaana KHaraab hai
shikve kahaa.n kahaa.n hai.n mire aab-diida ke
Naseem Dehlvi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
husn ke jalve nahii.n muhtaaj-e-chashm-e-aarzuu
sham.a jaltii hai ijaazat le ke parvaane se kyaa
Anand Narayan Mulla
Sher
mizaaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchaane
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
maayuus na ho be-ruKHii-e-chashm-e-jahaa.n se
shaa.ista-e-ehsaas ko.ii kaam kiye jaa
Anwar Sabri
Sher
Imtiyaz Ahmad Qamar
Sher
tasviir-e-chashm-e-yaar kaa KHvaahaa.n hai baaGbaa.n
iijaad hogii nargis-e-biimaar kii jagah
Sakhi Lakhnvi
Sher
ai chashm-e-yaar maut kaa pahluu bachaa ke tuu
aisii nigaah Daal ki mai.n niim-jaa.n rahuu.n
Muztar Khairabadi
Sher
ai chashm-e-iltifaat ke maare hu.e sambhal
ye husn-e-ittifaaq hai husn-e-nazar nahii.n
Raqim Lakhnavi
Sher
kin niindo.n ab tuu sotii hai ai chashm-e-girya-naak
mizhgaa.n to khol shahr ko sailaab le gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
dil hai nisaar mardumak-e-chashm-e-dost par
biimaar ko hai mardum-e-biimaar se Garaz
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
dil me.n aa raah-e-chashm-e-hairaa.n sii.n
khul rahe hai.n mirii palak ke paaT
Siraj Aurangabadi
Sher
dekhe na mujhe kyuu.nkar az-chashm-e-hiqaarat-uu
vo sarv-e-javaa.n yaaro man-faaKHta-e-piiram
Nazeer Akbarabadi
Sher
Khursheed Rizvi
Sher
hai in dino.n me.n gardish-e-chashm-e-butaa.n kaa daur
teraa zamaana gardish-e-dauraa.n nikal gayaa
Qurban Ali Salik Beg
Sher
uTThii hai chashm-e-saaqii-e-mai-KHaana bazm par
ye vaqt vo nahii.n ki halaal-o-haraam dekh