SEARCH RESULTS
Showing search results for "nigal"
Sher MATCHES FOR "nigal"
Sher
ik aur khet pakkii sa.Dak ne nigal liyaa
ik aur gaa.nv shahar kii vus.at me.n kho gayaa
Khalid Siddiqui
Sher
mai.n so rahaa thaa aur mirii KHvaab-gaah me.n
ik azhdahaa charaaG kii lau ko nigal gayaa
Sarvat Husain
Sher
saath chaaval ke ye ka.nkar bhii nigal jaataa hai
bhuuk me.n aadmii patthar bhii nigal jaataa hai
Javed Naseemi
Sher
dihaat ke vajuud ko qasba nigal gayaa
qasbe kaa jism shahr kii buniyaad khaa ga.ii
Tanveer Sipra
Sher
safar nigal ga.e ham ko vagarna ham ne bhii
kahii.n pahu.nch ke kisii ko gale lagaanaa thaa
Aqeel Abbas
Sher
hamii parem chand kii kahaaniyo.n ke log hai.n
vo log jin kii umr ko udhaar ne nigal liyaa
Haseebul Hasan
Sher
Shah Naseer
Sher
aap mazluum ke ashko.n se na khilvaa.D kare.n
ye vo dariyaa hai.n jo shahro.n ko nigal sakte hai.n
Mukhtar Tilhari
Sher
nahii.n nigaah me.n manzil to justujuu hii sahii
nahii.n visaal mayassar to aarzuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
faqat nigaah se hotaa hai faisla dil kaa
na ho nigaah me.n shoKHii to dilbarii kyaa hai
Allama Iqbal
Sher
vo zahr detaa to sab kii nigah me.n aa jaataa
so ye kiyaa ki mujhe vaqt pe davaa.e.n na dii.n
Akhtar Nazmi
Sher
apnii tabaahiyo.n kaa mujhe ko.ii Gam nahii.n
tum ne kisii ke saath mohabbat nibhaa to dii
Sahir Ludhianvi
Sher
chalne kaa hausla nahii.n ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diyaa