SEARCH RESULTS
Showing search results for "nisab e"
Sher MATCHES FOR "nisab e"
Sher
pahle nisaab-e-aql hu.aa ham se intisaab
phir yuu.n hu.aa ki qatl bhii ham kar diye ga.e
Alamtaab Tishna
Sher
gha.Dii jo biit ga.ii us kaa bhii shumaar kiyaa
nisaab-e-jaa.n me.n tirii KHaamushii bhii shaamil kii
Javed Nasir
Sher
kuchh ishq ke nisaab me.n kamzor ham bhii hai.n
kuchh parcha-e-savaal bhii aasaan chaahiye
Irfan Siddiqi
Sher
musaalahat kaa pa.Dhaa hai jab se nisaab mai.n ne
saliiqa duniyaa me.n zinda rahne kaa aa gayaa hai
Imdad Hamdani
Sher
kitaab-e-dil kaa mirii ek baab ho tum bhii
tumhe.n bhii pa.Dhtaa huu.n mai.n ik nisaab kii suurat
Abdul Wahab Sukhan
Sher
Mohammad Amaan Nisar
Sher
ho ga.e ruKHsat 'ra.iis' o 'aalii' o 'vaasif' 'nisaar'
rafta rafta aagara 'siimaab' suunaa ho gayaa
Seemab Akbarabadi
Sher
kahaa.n ke naam o nasab ilm kyaa faziilat kyaa
jahaan-e-rizq me.n tauqiir-e-ahl-e-haajat kyaa
Iftikhar Arif
Sher
shamiim-e-pairahan-e-yaar kyaa nisaar kare.n
tujhii ko dil se lagaa le.n tujhii ko pyaar kare.n
Makhdoom Mohiuddin
Sher
jin par nisaar naqd-e-sukuu.n naqd-e-jaa.n kiyaa
un se mile to aisii nadaamat hu.ii ki bas
Iqbal Umar
Sher
dekho na zaat paat na naam-o-nasab 'shifaa'
par dost jab banaa.o to kirdaar dekh kar
Shifa Kajgavnwi
Sher
mai.n nahii.n maantaa kaaGaz pe likhaa shajra-e-nasab
baat karne se qabiile kaa pata chaltaa hai
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
dil hai nisaar mardumak-e-chashm-e-dost par
biimaar ko hai mardum-e-biimaar se Garaz
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
jannat-e-suufiyaa nisaar dahr kii musht-e-KHaak par
aashiq-e-arz-e-paak ko daavat-e-laa-makaa.n na de
Firaq Gorakhpuri
Sher
KHayaal-o-KHvaab ko naam-o-nasab ko achchhaa ho
puraane saalo.n se ye saal sab ko achchhaa ho
Shehpar Rasool
Sher
jii chaahtaa hai saane-e-qudrat pe huu.n nisaar
but ko biThaa ke saamne yaad-e-KHudaa karuu.n