SEARCH RESULTS
Showing search results for "numaa.ish-gah-e-aalam"
Sher MATCHES FOR "numaa.ish-gah-e-aalam"
Sher
said KHaa.if vo ho.n is said-gah-e-aalam me.n
apne saa.e ko samajhtaa huu.n ki sayyaad aayaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Gam-o-alam se jo ta.abiir kii KHushii mai.n ne
bahut qariib se dekhii hai zindagii mai.n ne
Figar Unnavi
Sher
ye kyaa hai ki zikr-e-Gam-e-ayyaam bahut hai
shiishe me.n abhii to mai-e-gulfaam bahut hai
Wafa Shahjahanpuri
Sher
Gam-o-alam bhii hai.n tum se KHushii bhii tum se hai
navaa-e-soz me.n tum ho sadaa-e-saaz me.n tum
Aatish Bahawalpuri
Sher
Gam-e-ayyaam pe yuu.n KHush hai.n tire diivaane
Gam-e-ayyaam bhii ik terii adaa ho jaise
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
ko.ii ilaaj-e-Gam-e-zindagii bataa vaa.iz
sune hu.e jo fasaane hai.n phir sunaa na mujhe
Akhtar Ziai
Sher
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
Sher
jalve kaa tere vo aalam hai ki gar kiije KHayaal
diida-e-dil ko ziyaarat-gaah-e-hairaanii kare
Mirza Ghalib
Sher
nahii.n ilaaj-e-Gam-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije
Jigar Barelvi
Sher
kaunain-e-ain-e-ilm me.n hai jalva-gaah-e-husn
jeb-e-KHirad se ainak-e-irfaa.n nikaaliye
Sahir Dehlavi
Sher
aise musaafiraan-e-adam tang-dil ga.e
mu.nh bhii kiyaa na aalam-e-iijaad kii taraf
Naseem Dehlvi
Sher
ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.n hai
ai chaaragaro dard ba.Dhaa kyuu.n nahii.n dete
Ahmad Faraz
Sher
Gam se nisbat hai jinhe.n zabt-e-alam karte hai.n
ashk ko ziinat-e-daamaa.n nahii.n hone dete
Abrar Kiratpuri
Sher
chehre badal badal ke kahaanii sunaa ga.e
dard-o-alam firaaq mirii jaa.n ko aa ga.e
Farhat Abbas
Sher
ai Gam-e-duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste
kin bahaano.n se tabii.at raah par laa.ii ga.ii
Sahir Ludhianvi
Sher
ranj-o-Gam dard-o-alam zillat-o-rusvaa.ii hai
ham ne ye dil ke lagaane kii sazaa paa.ii hai
Fida Kadvi
Sher
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak